chāṇd chhupā bādal meṅ śharmā ke merī jānā
sīne se lag jā tū balkhāke merī jānā
gumsum sā hai, gupchup sā hai, madhośh hai, khāmośh hai
ye samā hāṇ ye samā kuchh aur hai
nazdīkīyāṅ baṛh jāne de
are nahīṅ bābā, nahīṅ abhī nahīṅ nahīṅ
ye dūriyāṇ miṭ jāne de
are nahīṅ bābā, nahīṅ abhī nahīṅ nahīṅ
dūr se hī tum jī bhar ke dekho
tum hī kaho kaise dūr se dekhūṇ
chāṇd ko jaise dekhtā chakor hai
gumsum sā hai, gupchup sā hai, madhośh hai, khāmośh hai
ye samā hāṇ ye samā kuchh aur hai
āṇchal meṅ tū chhup jāne de
are nahīṅ bābā, nahīṅ abhī nahīṅ nahīṅ
zulphoṅ meṅ tū kho jāne de
are nahīṅ bābā, nahīṅ abhī nahīṅ nahīṅ
pyār to nām hai sabr kā hamdam
vo hī bhalā bolo kaise kare ham
sāvan kī rāh jaise dekhe mor hai
rahne bhī do, jāne bhī do, ab chhoṛo nā, muṇh moḍo nā
ye samā hāṇ ye samā kuchh aur hai
āyā re āyā chaṅdā ab har khvāīśh pūrī hogī
chāṅdnī rāt meṅ har sajnī apne sajnā ko dekhegī