vāh vāh rām jī, joṛī kyā banāī
bhaiyyā aur bhābhī ko, badhāī ho badhāī
sab rasmoṅ se baṛī hai jag meṅ
dil se dil kī sagāī
āpkī kṛpā se ye, śhubh ghaṛī āī
jījī aur jījā ko, badhāī ho badhāī
sab rasmoṅ se baṛī hai jag meṅ
dil se dil kī sagāī
vāh vāh rām jī
mere bhaiyyā jo, chup baiṭhe haiṅ
dekho bhābhī ye, kaise aiṅṭhe haiṅ
aise baṛe hī bhale haiṅ
mānā thoṛe manachle haiṅ
pār āp ke sivā kahīṅ bhī na phisle haiṅ
dekho dekho khud pe, jījī itrāī
bhaiyyā aur bhābhī ko, badhāī ho badhāī
sab rasmoṅ se baṛī hai …
vāh vāh rām jī
suno jījājī, ajī āp ke liye
merī jījī ne, baṛe tap haiṅ kiye
mandiroṅ meṅ kiye phere
pūjā sāṇjh savere
tīn lok taiṅtīs devoṅ ke ye rahī ghere
jaise maiṅ ne māṇgī thī, vaisī bhābhī pāī
jījī aur jījā ko, badhāī ho badhāī
sab rasmoṅ se baṛī hai …
vāh vāh rām jī