Hue ham jin ke liye barbaad

हुए हम जिन के लिये बरबाद्
Year
Language

असीर-ए-पंजा-ए-अहद-ए-शबाब कर के मुझे
कहाँ गया मेरा बचपन खराब कर के मुझे

हुए हम जिनके लिए बरबाद
वो हमको चाहे करें न याद
जीवन भर, जीवन भर उनकी याद में
हम गाए जाएंगे, हम गाए जाएंगे

एक ज़माना था वो पल भर हमसे रहे न दूर
हमसे रहे न दूर
एक ज़माना है के हुए हैं मिलने से मजबूर
मिलने से मजबूर
रहे वो दिल का नगर आबाद
बसी है जिस में किसी की याद
हम दिल को, हम दिल को उनके याद से
बहलाए जाएंगे, बहलाए जाएंगे

मैं हूँ ऐसा दीपक जिस में न बाती न तेल
न बाती न तेल
बचपन बीता बनी मोहब्बत चार दिनों का खेल
चार दिनों का खेल
वो ग़म से लाख रहे आज़ाद
सुने न दर्द भरी फ़रियाद
अफ़्साना, अफ़्साना उनके प्यार का
हम गाए जाएंगे, गाए जाएंगे

asīr-e-paṅjā-e-ahad-e-śhabāb kar ke mujhe
kahāṇ gayā merā bachapan kharāb kar ke mujhe

hue ham jinke lie barbād
vo hamko chāhe kareṅ na yād
jīvan bhar, jīvan bhar unkī yād meṅ
ham gāe jāeṅge, ham gāe jāeṅge

ek zamānā thā vo pal bhar hamse rahe na dūr
hamse rahe na dūr
ek zamānā hai ke hue haiṅ milne se majbūr
milne se majbūr
rahe vo dil kā nagar ābād
basī hai jis meṅ kisī kī yād
ham dil ko, ham dil ko unke yād se
bahlāe jāeṅge, bahlāe jāeṅge

maiṅ hūṇ aisā dīpak jis meṅ na bātī na tel
na bātī na tel
bachapan bītā banī mohabbat chār dinoṅ kā khel
chār dinoṅ kā khel
vo ġham se lākh rahe āzād
sune na dard bharī fariyād
afsānā, afsānā unke pyār kā
ham gāe jāeṅge, gāe jāeṅge