Ho nainaa tere nainaa ho baat bataate hain

हो नैना तेरे नैना हो बात बताते हैं
Work
Year
Language

मु: हो नैना तेरे नैना हो बात बताते हैं
रात भर तू किसी के साथ जागी है हो रात जागी है
ल: हो नैना तेरे नैना हो बात बताते हैं
आग जैसे जिया में तेरे लागी है हो लागी है
मु: हो नैना तेरे …

थोड़ा पास तो आने दो निगाहों में बस जाने दो
है बेचैन अपना दिल दिल को बहलाने दो
आँखें तो मिलाने दो रूठो और मनाने दो
ल: हो तौबा मेरी तौबा हो निकला रे प्रेमी तू
मैं समझी थी तू कोई बैरागी है ऐ बैरागी है

अब तुम ऐसे न देखो कि हमसे देखा जाए ना
हमको लाज आए रे तुमको लाज आए ना
बैरी बाज आए ना छोड़ो छेड़ो हाय ना
मु: ओ गोरी तेरा आँचल हो बात बताता है
हाथ सैंया से छुड़ा के रात भागी है हो रात भागी है
मु: हो नैना तेरे …

mu: ho nainā tere nainā ho bāt batāte haiṅ
rāt bhar tū kisī ke sāth jāgī hai ho rāt jāgī hai
la: ho nainā tere nainā ho bāt batāte haiṅ
āg jaise jiyā meṅ tere lāgī hai ho lāgī hai
mu: ho nainā tere …

thoṛā pās to āne do nigāhoṅ meṅ bas jāne do
hai bechain apnā dil dil ko bahlāne do
āṇkheṅ to milāne do rūṭho aur manāne do
la: ho taubā merī taubā ho niklā re premī tū
maiṅ samjhī thī tū koī bairāgī hai ai bairāgī hai

ab tum aise na dekho ki hamse dekhā jāe nā
hamko lāj āe re tumko lāj āe nā
bairī bāj āe nā chhoṛo chheṛo hāy nā
mu: o gorī terā āṇchal ho bāt batātā hai
hāth saiṅyā se chhuṛā ke rāt bhāgī hai ho rāt bhāgī hai
mu: ho nainā tere …