Ho ke maayoos tere dar se savaalee na gayaa

हो के मायूस तेरे दर से सवाली न गया
Year
Language

र: हो के मायूस तेरे दर से सवाली न गया
झोलियाँ भर गईं सबकी कोई खाली न गया

अ: तेरे दरबार में जो भी परेशाँ हो के आए
दुआएँ दे के जाए और मुरादें ले के आए
तू रहमत का फ़रिश्ता है तू उजड़े घर बसाए
तू रूहों का मसीहा है तू हर ग़म की दवा है
अहल-ए-दिल अह-ए-मोहब्बत पे इनायत है तेरी
तूने डूबों को उबारा है ये शोहरत है तेरी
अनोखी शान तेरी निराली आन तेरी
तू मस्ती का ख़ज़ाना तेरा हर दिल दीवाना
तू महबूब-ए-ख़ुदा है तू हर ग़म की दवा है
तभी तो सब ( कहते हैं ) -3
हो के मायूस तेरे …

र: जमाल-ए-यार देखा है रुख़-ए-दिलदार देखा
किसी का नाज़नीं जलवा सर-ए-दरबार देखा
तमन्नाओं के सहरा में हसीं गुलज़ार देखा
जबसे देखा है तुझे दिल का अजीब आलम है
जान-ओ-ईमाँ भी अगर नज़र करूँ तो कम है
था जो सुनने में आया तुझे वैसा ही पाया
तू अरमानों की मंज़िल तू उम्मीदों का साहिल
तू हर बिगड़ी बनाए तू बिछड़ों को मिलाए
तभी तो सब ( कहते हैं ) -3
हो के मायूस तेरे …

ra: ho ke māyūs tere dar se savālī na gayā
jholiyāṇ bhar gaīṅ sabkī koī khālī na gayā

a: tere darbār meṅ jo bhī pareśhāṇ ho ke āe
duāeṇ de ke jāe aur murādeṅ le ke āe
tū rahmat kā fariśhtā hai tū ujaṛe ghar basāe
tū rūhoṅ kā masīhā hai tū har ġham kī davā hai
ahal-e-dil ah-e-mohabbat pe ināyat hai terī
tūne ḍūboṅ ko ubārā hai ye śhohrat hai terī
anokhī śhān terī nirālī ān terī
tū mastī kā khazānā terā har dil dīvānā
tū mahbūb-e-khudā hai tū har ġham kī davā hai
tabhī to sab ( kahte haiṅ ) -3
ho ke māyūs tere …

ra: jamāl-e-yār dekhā hai rukh-e-dildār dekhā
kisī kā nāznīṅ jalvā sar-e-darbār dekhā
tamannāoṅ ke sahrā meṅ hasīṅ gulazār dekhā
jabse dekhā hai tujhe dil kā ajīb ālam hai
jān-o-īmāṇ bhī agar nazar karūṇ to kam hai
thā jo sunne meṅ āyā tujhe vaisā hī pāyā
tū armānoṅ kī maṅzil tū ummīdoṅ kā sāhil
tū har bigaṛī banāe tū bichhaṛoṅ ko milāe
tabhī to sab ( kahte haiṅ ) -3
ho ke māyūs tere …