Ho gae deevaane tumko dekh kar is haal men

हो गए दीवाने तुमको देख कर इस हाल में
Work
Year
Language

हो गए दीवाने
हो गए दीवाने तुमको देख कर इस हाल में
चौदहवीं का चाँद हो तुम चौदहवें ही साल में -2
हो गए हे हो गए अहा हो गए दीवाने

ये मचलती कमसिनी और उसपे चढ़ता ये शबाब
एक नकली तिल लगा लो गाल पे अपने जनाब
बदनज़र से बच के पहुँचोगे पंदरहवें साल में
हो गए दीवाने …

आ गई तुमको हया मेरी ज़रा सी बात पर
लीजिए रख लीजिए दिल मेरा अपने हाथ पर
हम बना लेंगे तुम्हें दुल्हन सोलहवें साल में
हो गए दीवाने …

ho gae dīvāne
ho gae dīvāne tumko dekh kar is hāl meṅ
chaudahvīṅ kā chāṇd ho tum chaudahveṅ hī sāl meṅ -2
ho gae he ho gae ahā ho gae dīvāne

ye machaltī kamsinī aur uspe chaṛhtā ye śhabāb
ek naklī til lagā lo gāl pe apne janāb
badanazar se bach ke pahuṇchoge paṅdarahveṅ sāl meṅ
ho gae dīvāne …

ā gaī tumko hayā merī zarā sī bāt par
lījie rakh lījie dil merā apne hāth par
ham banā leṅge tumheṅ dulhan solahveṅ sāl meṅ
ho gae dīvāne …