Hnsne kee chaah ne itnaa mujhe rulaayaa hai

हँसने की चाह ने इतना मुझे रुलाया है
Work
Year
Language

हंसने की चाह ने इतना मुझे रुलाया है
कोई हमदर्द नहीं, दर्द मेरा साया है

दिल तो उलझा ही रहा ज़िन्दगी की बातों में
सांसें जलती हैं कभी कभी रातों में
किसी की आहटें ये कौन मुस्कुराया है
कोई हमदर्द नहीं …

सपने छलते ही रहे रोज़ नई राहों से
कोई फिसला है अभी अभी बाहों से
किसी की आह पर तारों को प्यार आया है
कोई हमदर्द नहीं …

haṅsne kī chāh ne itnā mujhe rulāyā hai
koī hamdard nahīṅ, dard merā sāyā hai

dil to uljhā hī rahā zindgī kī bātoṅ meṅ
sāṅseṅ jaltī haiṅ kabhī kabhī rātoṅ meṅ
kisī kī āhṭeṅ ye kaun muskurāyā hai
koī hamdard nahīṅ …

sapne chhalte hī rahe roz naī rāhoṅ se
koī phislā hai abhī abhī bāhoṅ se
kisī kī āh par tāroṅ ko pyār āyā hai
koī hamdard nahīṅ …