ek subah ek moṛ par maiṅ ne kahā use rok kar
hāth baṛhā ae ziṅdgī, āṇkh milākar bāt kar
roz tere jīne ke liye
ek subah mujhe mil jātī hai
murjhātī koī śhām agar to
rāt koī khil jātī hai
maiṅ roz subah tak ātā hūṇ
aur roz śhurū karat hūṇ safar
hāth baṛhā ae ziṅdgī, āṇkh milākar bāt kar
tere hazāroṅ chehroṅ meṅ
ek chehrā hai mujhse miltā hai
āṇkhoṅ kā raṅg bhī ek sā hai
āvāz kā aṅg bhī miltā hai
sach pūcho to ham do juṛav haiṅ
tū śhām merī maiṅ terī sahar
hāth baṛhā ae ziṅdgī, āṇkh milākar bāt kar