duniyā ke nakśhe par na jāne kitne mulq ubhre aur vaqt kī ret meṅ
dabkar fanā ho gae magar maiṅ āj bhī ziṅdā hūṅ
maiṅ hindustān hūṇ
merī umr kyā jāne zamānā o
itihās merā sadiyoṅ purānā
ṛiṣhiyoṅ kā dharm sūfiyoṅ kā īmān hūṅ
maiṅ hindustān hūṇ
deh śhivā var mohe ihe śhubh karman te kabhūṇ na ṭarūṅ
na ṭarūṅ arsoṅ jab jāe larau niśhchay kar apnī jīt karūṅ
buddham śharṇam gachchhāmi
saṅgham śharṇam gachchhāmi
dharmam śharṇam gachchhāmi
allā ho akabar allā ho akabar
hindustāniyoṅ kā dil hūṇ maiṅ jān hūṇ
duniyā zamīṅ hai maiṅ āsmān hūṇ
raṅg raṅg phūloṅ kā maiṅ gulistān hūṇ
gulistān hūṇ
maiṅ hindustān hūṇ
lo ab suno tum suno tum
is dil ke dukhaṛe
āṇsū bane mere gītoṅ ke mukhaṛe
taqsīm kā jab khaṅjar chalā to
maiṅ ṭūṭ kar ho gayā ṭukaṛe ṭukaṛe
apne begānoṅ meṅ maiṅ baṅṭ gayā hūṇ
ziṅdā hūṇ lekin maiṅ kaṭ gayā hūṇ
apne begānoṅ meṅ maiṅ baṅṭ gayā hūṇ
ghāyal hūṇ zakhmoṅ se maiṅ lahūluhān hūṅ
maiṅ hindustān hūṇ
vande mātaram vande mātaram
is pār sarahad par ham khaṛe haiṅ
us pār sarahad par vo khaṛe haiṅ
baṛhkar gale se lag jāo yāroṅ
ye fāsle chhoṭe haiṅ dil baṛe haiṅ
achchhe paṛosī rahte haiṅ aise
jab jab mileṅ to kahte haiṅ aise
tū merī jān hai maiṅ terī jān hūṇ
tū merī śhān hai maiṅ terī ān hūṇ
tū pākistān hai
maiṅ hindustān hūṇ
tū merī jān hai …
sāthī purāne phir mil gae haiṅ
donoṅ taraf gulaśhan khil gae haiṅ
tab duśhmnī meṅ jāneṅ gaī thīṅ
ab dostī meṅ ye mil gae haiṅ
sāthī purāne phir …
ab īd āe āe baisākhī hoy
merā paṛosī hai merā rākhī
apne paṛosī kā maiṅ nigehbān hūṇ
maiṅ hindustān hūṇ