gī: o sājnā, chhūṭā hai jo dāman terā
maṅzil-maṅzil hai aṇdherā, o sājnā
he: jā dilrubā, tere sāth chalā dil merā
rahe pyār nigahbāṇ terā, jā dilrubā
jā dilrubā
ko: prīt lagā ke ġham se āheṅ bharnā kyā
rāh chale to kāṇṭoṅ se phir ḍarnā kyā
gī: aī o, dil kī tamannā pūrī hone na pāī
ā ke jīgar pe lagā tīr-e-judāī, o sājnā
zarā dekh taṛapnā merā,
maṅzil-maṅzil hai aṇdherā, o sājnā
he: jā dilrubā, dil ko tere bahlāūṇgā
ummīd kā tārā ban ke
jhūmūṇgā āṇkhoṅ meṅ terī
maṅzil kā nazārā ban ke
jā dilrubā, nahīṅ dūr milan kā ḍerā
rahe pyār nigahbāṇ terā, jā dilrubā
ko: prīt lagā ke...
gī: aī o, hoṅgīṅ jo sūnī-sūnī ulfat kī rāheṅ
ḍhūṇḍhā kareṅgī tujhko merī nigāheṅ
o sājnā, maiṅ le ke chalī ġham terā
maṅzil-maṅzil hai aṇdherā, o sājnā
he: jā dilrubā, yād hamārī ban ke chāṇdnī
rāh meṅ khil jāegī
qadam-qadam par tujhko dhaṛakte dil kī sadā āegī
jā dilrubā, terī rāh meṅ sab kuchh merā
rahe pyār nigahbāṇ terā, jā dilrubā
gī: o sājnā, chhūṭā hai jo dāman terā
maṅzil-maṅzil hai aṇdherā, o sājnā
he: jā dilrubā