He too naa milee to ham jogee ban jaaenge

हे तू ना मिली तो हम जोगी बन जाएँगे
Year
Language

( हे तू ना मिली तो ) -2 हम जोगी बन जाएँगे
सारी उमरिया के रोगी बन जाएँगे
तू ना मिली तो …

ओ मेरे सपनों की रानी तुझपे निछावर मेरी जवानी
आ तेरी तस्वीर बना दूँ चीर के अपना सीना दिखा दूँ
राम बसे हनुमान के दिल में तू मेरे दिल की महफ़िल में
तुझको अगर हो कोई शंका जला दें अपने दिल की लंका
तेरे सामने हँसते हुए जल जाएँगे
तू ना मिली तो …

और सुनो
तेरे मिलन में सुख हैं सारे तेरे दर्शन सबसे प्यारे
तू महके जैसे रात की रानी अंग-अंग से छलके जवानी
तूने बहुत मेरे दिल को सताया डाल दे अब ज़ुल्फ़ों का साया
कमल कली सी तेरी काया रूप मेनका जैसा पाया
तुझे देख के जोगी भी भोगी बन जाएँगे
तू ना मिली तो …

( he tū nā milī to ) -2 ham jogī ban jāeṇge
sārī umriyā ke rogī ban jāeṇge
tū nā milī to …

o mere sapnoṅ kī rānī tujhpe nichhāvar merī javānī
ā terī tasvīr banā dūṇ chīr ke apnā sīnā dikhā dūṇ
rām base hanumān ke dil meṅ tū mere dil kī mahafil meṅ
tujhko agar ho koī śhaṅkā jalā deṅ apne dil kī laṅkā
tere sāmne hṇste hue jal jāeṇge
tū nā milī to …

aur suno
tere milan meṅ sukh haiṅ sāre tere darśhan sabse pyāre
tū mahke jaise rāt kī rānī aṅg-aṅg se chhalke javānī
tūne bahut mere dil ko satāyā ḍāl de ab zulfoṅ kā sāyā
kamal kalī sī terī kāyā rūp menkā jaisā pāyā
tujhe dekh ke jogī bhī bhogī ban jāeṇge
tū nā milī to …