In havaaon men, in fizaaon men tujhko meraa pyaar pukaare

इन हवाओं में, इन फ़िज़ाओं में तुझको मेरा प्यार पुकारे
Work
Year
Language

इन हवाओं में, इन फ़िज़ाओं में तुझको मेरा प्यार पुकारे
आजा आजा रे, तुझको मेरा प्यार पुकारे

रुक ना पाऊं मैं, खिचती आऊं मैं, दिल को जब दिलदार पुकारे
आजा आजा रे तुझको मेरा पुकारे

तुझसे रंगत, तुझसे मस्ती इन झरनो में, इन फूलों में
तेरे दम से मेरी हस्ती झूले चाहत के झूलों में
मचली जायें शोख उमंगे, दो बाहों का हार पुकारे
आजा आजा रे

दिल में तेरे दिल की धड़कन, आँख में तेरी आँख का जादु
लब पर तेरे लब के संग, साँस में तेरी साँस की खुशबू
ज़ुल्फ़ों का हर पेंच बुलाये, आँचल का हर तार पुकारे
आजा आजा रे, तुझको मेरा प्यार पुकारे

इन हवाओं में, इन फ़िज़ाओं में तुझको मेरा प्यार पुकारे
आजा आजा रे, तुझको मेरा प्यार पुकारे

रुक ना पाऊं मैं, खिंचती आऊं मैं
दिल को जब दिलदार पुकारे

लौट रही हैं मेरी सदायें दीवरों से सर टकरा के
हाथ पकड़ कर चलने वाले हो गये रुख़सत हाथ छुड़ाके
उनको कुछ भी याद नहीं है, अब कोई सौ बार पुकारे

इल्म नहीं था इतनी जलदी खतम फ़साने हो जायेंगे
तुम बेगाने बन जाओगे, हम दीवाने हो जायेंगे
कल बाहों का हार मिला था, आज अश्कों का हार पुकारे
आजा आजा रे, तुझको मेरा प्यार पुकारे

in havāoṅ meṅ, in fizāoṅ meṅ tujhko merā pyār pukāre
ājā ājā re, tujhko merā pyār pukāre

ruk nā pāūṅ maiṅ, khichtī āūṅ maiṅ, dil ko jab dildār pukāre
ājā ājā re tujhko merā pukāre

tujhse raṅgat, tujhse mastī in jharno meṅ, in phūloṅ meṅ
tere dam se merī hastī jhūle chāhat ke jhūloṅ meṅ
machlī jāyeṅ śhokh umaṅge, do bāhoṅ kā hār pukāre
ājā ājā re

dil meṅ tere dil kī dhaṛkan, āṇkh meṅ terī āṇkh kā jādu
lab par tere lab ke saṅg, sāṇs meṅ terī sāṇs kī khuśhbū
zulfoṅ kā har peṅch bulāye, āṇchal kā har tār pukāre
ājā ājā re, tujhko merā pyār pukāre

in havāoṅ meṅ, in fizāoṅ meṅ tujhko merā pyār pukāre
ājā ājā re, tujhko merā pyār pukāre

ruk nā pāūṅ maiṅ, khiṅchtī āūṅ maiṅ
dil ko jab dildār pukāre

lauṭ rahī haiṅ merī sadāyeṅ dīvroṅ se sar ṭakrā ke
hāth pakaṛ kar chalne vāle ho gaye rukhsat hāth chhuṛāke
unko kuchh bhī yād nahīṅ hai, ab koī sau bār pukāre

ilm nahīṅ thā itnī jaldī khatam fasāne ho jāyeṅge
tum begāne ban jāoge, ham dīvāne ho jāyeṅge
kal bāhoṅ kā hār milā thā, āj aśhkoṅ kā hār pukāre
ājā ājā re, tujhko merā pyār pukāre