Havaa kah rahee hai ... mohabbat ne mohabbat ko

हवा कह रही है ... मोहब्बत ने मोहब्बत को
Year
Language

हवा कह रही है घटा कह रही है हसीं ये नज़ारा है
दिल ही ये समझेगा दिल ही ये जानेगा दिल का इशारा है
मोहब्बत ने मोहब्बत को मोहब्बत से पुकारा है
हवा कह रही है …

मोहब्बत से मेरी जो आँखें मिली तो मोहब्बत मैं करने लगा
जो देखी मोहब्बत की दीवानगी तो मोहब्बत पे मरने लगा
मोहब्बत को तो चैन आए मेरी जां मोहब्बत के आग़ोश में
मोहब्बत से मिल के दीवाने रहें ना मोहब्बत कभी होश में
मेरा दिल मेरी जां तू मेरा अरमां
मुझे तो तेरी खूबसूरत जवां इन अदाओ ने मारा है
ज़रा पूछ मैने बिना तेरे कैसे ये लम्हा गुज़ारा है
मोहब्बत ने मोहब्बत को …

मोहब्बत मोहब्बत तेरे दिल पे लिख दूँ मोहब्बत मेरा नाम है
मोहब्बत से बढ़ के नहीं काम कोई मोहब्बत मेरा काम है
मोहब्बत को देखूँ मोहब्बत को चाहूँ मोहब्बत से बातें करूँ
मोहब्बत कभी दूर जाए जो मुझसे मोहब्बत में आहें भरूँ
ये वादा टूटे ना ये दामन छूटे ना
तेरा प्यार मुझको ऐ जान-ए-जहां ज़िंदगी से भी प्यारा है
तेरे रूप को मैने जान-ए-तमन्ना जिगर में उतारा है
मोहब्बत ने मोहब्बत को …

havā kah rahī hai ghaṭā kah rahī hai hasīṅ ye nazārā hai
dil hī ye samjhegā dil hī ye jānegā dil kā iśhārā hai
mohabbat ne mohabbat ko mohabbat se pukārā hai
havā kah rahī hai …

mohabbat se merī jo āṇkheṅ milī to mohabbat maiṅ karne lagā
jo dekhī mohabbat kī dīvāngī to mohabbat pe marne lagā
mohabbat ko to chain āe merī jāṅ mohabbat ke āġhośh meṅ
mohabbat se mil ke dīvāne raheṅ nā mohabbat kabhī hośh meṅ
merā dil merī jāṅ tū merā armāṅ
mujhe to terī khūbsūrat javāṅ in adāo ne mārā hai
zarā pūchh maine binā tere kaise ye lamhā guzārā hai
mohabbat ne mohabbat ko …

mohabbat mohabbat tere dil pe likh dūṇ mohabbat merā nām hai
mohabbat se baṛh ke nahīṅ kām koī mohabbat merā kām hai
mohabbat ko dekhūṇ mohabbat ko chāhūṇ mohabbat se bāteṅ karūṇ
mohabbat kabhī dūr jāe jo mujhse mohabbat meṅ āheṅ bharūṇ
ye vādā ṭūṭe nā ye dāman chhūṭe nā
terā pyār mujhko ai jān-e-jahāṅ ziṅdgī se bhī pyārā hai
tere rūp ko maine jān-e-tamannā jigar meṅ utārā hai
mohabbat ne mohabbat ko …