Haseen vaadiyon fizaaon se kah do havaaon se

हसीन वादियों फ़िज़ाओं से कह दो हवाओं से
Work
Year
Language

हसीन वादियों
फ़िज़ाओं से कह दो हवाओं से कह दो
मेरा यार मेरा प्यार ले के आया है
हसीन वादियों …

सूरत है भोली सी क़ातिल हर एक अदा
दिल-ओ-जान से हुआ हूँ मैं तो उसपे फ़िदा
कोई जाने ना जाने कोई माने ना माने
मैं तो कहता हूँ उनको ख़ुदाओं का ख़ुदा
मेरा यार मेरा प्यार -2
वो तो आँखों में खुमार ले के आया है
हसीन वादियों …

कली से है नाज़ुक फूलों से भी हसीं
मेरे यार जैसा कोई भी ज़माने में नहीं
उस जैसी नाज़नीं उस जैसी दिलनशीं
दिया ले के भी ढूँढों तो मिलेगी न कहीं
मेरा यार मेरा प्यार -2
वो तो दिल का क़रार ले के आया है
हसीन वादियों …

डाली जैसे तो लचकती है पतली क़मर
शरमाए भी ज़रा घबराए भी ज़रा
अभी प्यार की राहों में नया-नया है सफ़र
मेरा यार मेरा प्यार -2
वो तो उम्मीदों का निखार ले के आया है
हसीन वादियों …

hasīn vādiyoṅ
fizāoṅ se kah do havāoṅ se kah do
merā yār merā pyār le ke āyā hai
hasīn vādiyoṅ …

sūrat hai bholī sī qātil har ek adā
dil-o-jān se huā hūṇ maiṅ to uspe fidā
koī jāne nā jāne koī māne nā māne
maiṅ to kahtā hūṇ unko khudāoṅ kā khudā
merā yār merā pyār -2
vo to āṇkhoṅ meṅ khumār le ke āyā hai
hasīn vādiyoṅ …

kalī se hai nāzuk phūloṅ se bhī hasīṅ
mere yār jaisā koī bhī zamāne meṅ nahīṅ
us jaisī nāznīṅ us jaisī dilanśhīṅ
diyā le ke bhī ḍhūṇḍhoṅ to milegī na kahīṅ
merā yār merā pyār -2
vo to dil kā qarār le ke āyā hai
hasīn vādiyoṅ …

ḍālī jaise to lachaktī hai patlī qamar
śharmāe bhī zarā ghabrāe bhī zarā
abhī pyār kī rāhoṅ meṅ nayā-nayā hai safar
merā yār merā pyār -2
vo to ummīdoṅ kā nikhār le ke āyā hai
hasīn vādiyoṅ …