Haseen ho khudaa to naheen ho

हसीन हो ख़ुदा तो नहीं हो
Year
Language

हसीन हो हसीन हो ख़ुदा तो नहीं हो
रुको रुको हवा तो नहीं हो

हसीन हो ख़ुदा तो नहीं हो
रुको रुको हवा तो नहीं हो

ये चाल बेमिसाल है अदा भी ये क़माल है
मगर सुना है आपने क़माल तो जमाल है
इसलिए कहता हूँ अकड़ के न चलो
हसीन हो ख़ुदा तो …

न यूँ मटक-मटक के चल न पाँव यूँ पटक के चल
खड़े हैं हम भी राहों में दुपट्टा न झटक के चल
बहुत हसीन मिलेंगे हमको नाज़ न करो
हसीन हो ख़ुदा तो …

न रस्ता है ये आपका न रस्ता ये मेरे बाप का
अगर मैं साथ हो लिया तो क्‌या गया जनाब का
मैं आदमी हूँ काम का जी साथ ले चलो
हसीन हो ख़ुदा तो …

hasīn ho hasīn ho khudā to nahīṅ ho
ruko ruko havā to nahīṅ ho

hasīn ho khudā to nahīṅ ho
ruko ruko havā to nahīṅ ho

ye chāl bemisāl hai adā bhī ye qamāl hai
magar sunā hai āpne qamāl to jamāl hai
islie kahtā hūṇ akaṛ ke na chalo
hasīn ho khudā to …

na yūṇ maṭak-maṭak ke chal na pāṇv yūṇ paṭak ke chal
khaṛe haiṅ ham bhī rāhoṅ meṅ dupaṭṭā na jhaṭak ke chal
bahut hasīn mileṅge hamko nāz na karo
hasīn ho khudā to …

na rastā hai ye āpkā na rastā ye mere bāp kā
agar maiṅ sāth ho liyā to k‌yā gayā janāb kā
maiṅ ādmī hūṇ kām kā jī sāth le chalo
hasīn ho khudā to …