हर टुकड़ा मेरे दिल का देता है दुहाई
हर टुकड़ा मेरे दिल का देता है दुहाई
दिल टूट गया आपको आवाज ना आई
मंज़िल को तरसते हैं और सामने मंज़िल है
कहना ही पड़ा हमको किस्मत बड़ी कातिल है
छुप छुपके मेरे हाल पे रोती है खुदाई
दिल टूट गया आपको आवाज़ ना आई
क्या दोष हमारा था हम ये ना समझ पाए
दुनिया तेरी महफ़िल में हम आए तो क्यों आए
अब कितने जनम और जलाएगी जुदाई
दिल टूट गया आपको आवाज़ ना आई
रोका है ज़माने ने हर बार मिलन अपना
कब नींद से जागोगे, कब टूटेगा ये सपना
जागे ना अगर आप तो जागेगी तबाही
दिल टूट गया आपको आवाज़ ना आई
har ṭukaṛā mere dil kā detā hai duhāī
dil ṭūṭ gayā āpko āvāj nā āī
maṅzil ko taraste haiṅ aur sāmne maṅzil hai
kahnā hī paṛā hamko kismat baṛī kātil hai
chhup chhupke mere hāl pe rotī hai khudāī
dil ṭūṭ gayā āpko āvāz nā āī
kyā doṣh hamārā thā ham ye nā samajh pāe
duniyā terī mahafil meṅ ham āe to kyoṅ āe
ab kitne janam aur jalāegī judāī
dil ṭūṭ gayā āpko āvāz nā āī
rokā hai zamāne ne har bār milan apnā
kab nīṅd se jāgoge, kab ṭūṭegā ye sapnā
jāge nā agar āp to jāgegī tabāhī
dil ṭūṭ gayā āpko āvāz nā āī