Har subah bahut yaad aataa hai

हर सुबह बहुत याद आता है
Year
Language

हर सुबह बहुत याद आता है हर शाम बहुत याद आता है
तेरा नाम बहुत याद आता है
हर सुबह बहुत …

मेरे सपनों के महलों में सिर्फ़ तेरी तस्वीरें
देख ज़रा तेरे हाथों में सिर्फ़ मेरी तकदीरें
कदम कदम पे चलना मुझको बनके तेरा साया
जब भी सोचा जब भी देखा मैने तुझको पाया
हर सुबह बहुत …

मेरी तन्हाई के साथी मेरे दिल की धड़कन
मेरी शानों पे बिखरा दे ये ज़ुल्फ़ों का सावन
ना कोई बेचैनी है अब ना कोई मजबूरी
हर मौसम चाहत का मौसम हर लम्हा सिन्दूरी
हर सुबह बहुत …

har subah bahut yād ātā hai har śhām bahut yād ātā hai
terā nām bahut yād ātā hai
har subah bahut …

mere sapnoṅ ke mahloṅ meṅ sirf terī tasvīreṅ
dekh zarā tere hāthoṅ meṅ sirf merī takdīreṅ
kadam kadam pe chalnā mujhko banke terā sāyā
jab bhī sochā jab bhī dekhā maine tujhko pāyā
har subah bahut …

merī tanhāī ke sāthī mere dil kī dhaṛkan
merī śhānoṅ pe bikhrā de ye zulfoṅ kā sāvan
nā koī bechainī hai ab nā koī majbūrī
har mausam chāhat kā mausam har lamhā sindūrī
har subah bahut …