हर क़दम पर नित नए साँचे में
हर क़दम पर नित नए साँचे में ढल जाते हैं लोग
देखते ही देखते कितने बदल जाते हैं लोग
किस लिये कीजे किसी गुम्गश्ता जन्नत की तलाश
जब कि मिट्टी के खिलोनों से बहल जाते हैं लोग
शमा की मानिन्द अह्ल-ए-अंजुमन से बे-नियाज़
अकसर अपनी आग में चुप चाप जल जाते हैं लोग
'शयर्' उन की दोस्ती का अब भी दम भरते हैं आप
ठोकरें खा कर तो सुनते हैं सम्भल जाते हैं लोग्
har qadam par nit nae sāṇche meṅ ḍhal jāte haiṅ log
dekhte hī dekhte kitne badal jāte haiṅ log
kis liye kīje kisī gumgaśhtā jannat kī talāśh
jab ki miṭṭī ke khilonoṅ se bahal jāte haiṅ log
śhamā kī mānind ahl-e-aṅjuman se be-niyāz
akasar apnī āg meṅ chup chāp jal jāte haiṅ log
'śhayar' un kī dostī kā ab bhī dam bharte haiṅ āp
ṭhokreṅ khā kar to sunte haiṅ sambhal jāte haiṅ log