Har dil men nafrat bharee hai ... too mile to poochhoon

हर दिल में नफ़रत भरी है ... तू मिले तो पूछूँ
Work
Year
Language

हर दिल में नफ़रत भरी है कोई दिल साफ़ नहीं है
मालिक तेरी सारी दुनिया में कहीं इंसाफ़ नहीं है

तू मिले तो पूछूँ तुझसे क्‌या ये है न्याय तेरा
दुनिया को दिए उजाले और मुझको दिया अँधेरा
तू मिले तो पूछूँ …

नेकी करने वालों को तो मिलती यहाँ बुराई है
ख़ुदगर्ज़ी के तूफ़ानों में डूब गई सच्चाई है
किसी की नगरी बस गई देखो किसी का लुट गया डेरा
तू मिले तो पूछूँ …

कितनी उमंगें लाए थे हम दिल में समेटकर
ले जा ले आ रहे हैं हसरतें क़फ़न में लपेटकर
अब किसपे करें भरोसा जब तूने ही मुँह फेरा
दुनिया को दिए उजाले …

तेरी झूठी दुनिया की हम सब दीवारें तोड़ चले
तुझे मुबारक तेरी दुनिया हम तो दुनिया छोड़ चले
मर कर भी न भूल सकेंगे हम एहसान ये तेरा
तू मिले तो पूछूँ …

har dil meṅ nafrat bharī hai koī dil sāf nahīṅ hai
mālik terī sārī duniyā meṅ kahīṅ iṅsāf nahīṅ hai

tū mile to pūchhūṇ tujhse k‌yā ye hai nyāy terā
duniyā ko die ujāle aur mujhko diyā aṇdherā
tū mile to pūchhūṇ …

nekī karne vāloṅ ko to miltī yahāṇ burāī hai
khudgarzī ke tūfānoṅ meṅ ḍūb gaī sachchāī hai
kisī kī nagrī bas gaī dekho kisī kā luṭ gayā ḍerā
tū mile to pūchhūṇ …

kitnī umaṅgeṅ lāe the ham dil meṅ sameṭkar
le jā le ā rahe haiṅ hasarteṅ qafan meṅ lapeṭkar
ab kispe kareṅ bharosā jab tūne hī muṇh pherā
duniyā ko die ujāle …

terī jhūṭhī duniyā kī ham sab dīvāreṅ toṛ chale
tujhe mubārak terī duniyā ham to duniyā chhoṛ chale
mar kar bhī na bhūl sakeṅge ham ehsān ye terā
tū mile to pūchhūṇ …