Har dam tumheen ko pyaar kiye jaa rahee hoon main

हर दम तुम्हीं को प्यार किये जा रही हूँ मैं
Work
Year
Language

हर दम तुम्हीं को प्यार किये जा रही हूँ मैं
जीना नहीं क़ुबूल जिये जा रही हूँ मैं

हर दम तुम्हीं को याद किये जा रहा हूँ मैं
मिलने की आरज़ू में जिये जा रहा हूँ मैं

तुम मेरे दिल के पास हो चाहे जहाँ रहो
साँसों की लय पे नाम लिये जा रही हूँ मैं

तुम्हीं को ढूँढती है ये आँसू भरी नज़र
अब हर तरफ़ निगाह किये जा रहा हूँ मैं

दिल मेरा बोलता है पपीहे के रूप में
पी पी के ??? जिये जा रही हूँ मैं

har dam tumhīṅ ko pyār kiye jā rahī hūṇ maiṅ
jīnā nahīṅ qubūl jiye jā rahī hūṇ maiṅ

har dam tumhīṅ ko yād kiye jā rahā hūṇ maiṅ
milne kī ārazū meṅ jiye jā rahā hūṇ maiṅ

tum mere dil ke pās ho chāhe jahāṇ raho
sāṇsoṅ kī lay pe nām liye jā rahī hūṇ maiṅ

tumhīṅ ko ḍhūṇḍhtī hai ye āṇsū bharī nazar
ab har taraf nigāh kiye jā rahā hūṇ maiṅ

dil merā boltā hai papīhe ke rūp meṅ
pī pī ke ??? jiye jā rahī hūṇ maiṅ