phūloṅ kā tāroṅ kā, sabkā kahnā hai
ek hazāroṅ meṅ merī bahnā hai
sārī, umar, hameṅ saṅg rahnā hai
phūloṅ …
ye na jānā duniyā ne tū hai kyūṇ udās,
terī pyāsī āṇkhoṅ meṅ pyār kī hai pyās,
ā mere pās ā, kah jo kahnā hai, ek hazāroṅ …
bholī-bhālī jāpānī guṛiyā jaisī tū,
pyārī-pyārī jādū kī puṛiyā jaisī tū,
ḍaiḍī kā mammī kā, sab kā kahnā hai, ek hazāroṅ …
jab se merī āṇkhoṅ se ho gaī tū dūr
tab se sāre jīvan ke sapne haiṅ chūr
āṇkhoṅ meṅ nīṅd nā, man meṅ chainā hai, ek hazāroṅ …
dekho ham tum dono haiṅ ek ḍālī ke phūl
maiṅ na bhūlā tū kaise mujhko gaī bhūl
ā mere pās ā, kah jo kahnā hai, ek hazāroṅ …
jīvan ke dukhoṅ se, yūṇ ḍarte nahīṅ haiṅ
aise bachke sach se guzarte nahīṅ haiṅ
sukh kī hai chāh to, dukh bhī sahnā hai, ek hazāroṅ …