Hamne tujhko pyaar kiyaa hai jitnaa, kaun karegaa itnaa

हमने तुझको प्यार किया है जितना, कौन करेगा इतना
Year
Language

हम ने तुझको प्यार किया है जितना, कौन करेगा इतना

तूने हमपर लाख जफा की हमने अदा ही समझी
तुझसे कोई भूल हुई तो अपनी खता ही समझी
सामने तेरे यूँ हस हस के लूटते रहे हम जितना
कौन लूटेगा इतना

रोए भी तो दिल ही दिल में, महफ़िल में मुसकाये
तुझ से ही हम, तेरा ये गम, बरसो रहे छुपाये
प्यार में तेरे चुपके चुपके, जलते रहे हम जितना
कौन जलेगा इतना

प्यार में मेरे नाज़ तुम्हे था, याद करो वो नज़ारा
हाथ पे अपने लिख लेते थे, जब तुम नाम हमारा
तेरी अदा के भोलेपन पे, मिटते रहे हम जितना
कौन मिटेगा इतना

ham ne tujhko pyār kiyā hai jitnā, kaun karegā itnā

tūne hampar lākh japhā kī hamne adā hī samjhī
tujhse koī bhūl huī to apnī khatā hī samjhī
sāmne tere yūṇ has has ke lūṭte rahe ham jitnā
kaun lūṭegā itnā

roe bhī to dil hī dil meṅ, mahafil meṅ muskāye
tujh se hī ham, terā ye gam, barso rahe chhupāye
pyār meṅ tere chupke chupke, jalte rahe ham jitnā
kaun jalegā itnā

pyār meṅ mere nāz tumhe thā, yād karo vo nazārā
hāth pe apne likh lete the, jab tum nām hamārā
terī adā ke bholepan pe, miṭte rahe ham jitnā
kaun miṭegā itnā