हमने सुना है तुमने जीवन साथी चुना है
हमने सुना है तुमने जीवन साथी चुना है
जिसको तुमने सुन ही लिया है चीज़ वो क्या है
कहीं होगा न ऐसा एक भी
होशियार भी है वो नेक भी
उसे दुनिया में सब कहते हैं अच्छा
कभी झूठ नहीं वो बोलता
कभी ज़हर नहीं वो घोलता
वो दिल का साफ़ है और बिल्कुल सच्चा
समझे बच्चा
हमने सुना है …
ये तो बता दो हमें समझा दो
है किस घराने का वो
वो नहीं ऐसा वैसा नहीं तुम्हारे जैसा
है नए ज़माने का वो
ये तो बता दो …
कहीं पड़ा उसे क्या पाया था
या वो खुद रोता आया था
हमसे तो कहो हमपे यकीन कर लो
जो तुमने इशारा है किया
मैने पहले ही था कह दिया
लड़के की पूरी छानबीन कर लो
चुप भी रहो
अरे हमने सुना है …
चुप रहता है कि बोले जाता है
क्या bore करता है वो
जाए कहीं वो जो बात करे तो
इक रंग भरता है वो
चुप रहता है …
indian है या अंग्रेज़ है
वो सीधा है या तेज़ है
हिम्मतवाला है क्या मेरे जैसा
निकम्मा है या काम का
पति बनेगा बस क्या नाम का
वो जैसा भी हो पर ना हो ऐसा
ऐसा वैसा
हमने सुना है …
हाँ तुमने सुना है
तुमने बिल्कुल ठीक सुना है
मैने जीवन साथी चुना है
क्यूँ कहूँ क्या है
चीज़ वो क्या है
hamne sunā hai tumne jīvan sāthī chunā hai
jisko tumne sun hī liyā hai chīz vo kyā hai
kahīṅ hogā na aisā ek bhī
hośhiyār bhī hai vo nek bhī
use duniyā meṅ sab kahte haiṅ achchhā
kabhī jhūṭh nahīṅ vo boltā
kabhī zahar nahīṅ vo gholtā
vo dil kā sāf hai aur bilkul sachchā
samjhe bachchā
hamne sunā hai …
ye to batā do hameṅ samjhā do
hai kis gharāne kā vo
vo nahīṅ aisā vaisā nahīṅ tumhāre jaisā
hai nae zamāne kā vo
ye to batā do …
kahīṅ paṛā use kyā pāyā thā
yā vo khud rotā āyā thā
hamse to kaho hampe yakīn kar lo
jo tumne iśhārā hai kiyā
maine pahle hī thā kah diyā
laṛke kī pūrī chhānbīn kar lo
chup bhī raho
are hamne sunā hai …
chup rahtā hai ki bole jātā hai
kyā bore kartā hai vo
jāe kahīṅ vo jo bāt kare to
ik raṅg bhartā hai vo
chup rahtā hai …
indian hai yā aṅgrez hai
vo sīdhā hai yā tez hai
himmatvālā hai kyā mere jaisā
nikammā hai yā kām kā
pati banegā bas kyā nām kā
vo jaisā bhī ho par nā ho aisā
aisā vaisā
hamne sunā hai …
hāṇ tumne sunā hai
tumne bilkul ṭhīk sunā hai
maine jīvan sāthī chunā hai
kyūṇ kahūṇ kyā hai
chīz vo kyā hai