Hamne jalvaa dikhaayaa to jal jaaoge

हमने जलवा दिखाया तो जल जाओगे
Year
Language

आ: अरे तो जल जाओगे
हमने जलवा दिखाया तो जल जाओगे -3
रुख़ से परदा हाय
रुख़ से परदा हटाया तो ग़श खाओगे
रुख़ से परदा
म: परदा तो है फ़रेब, अजी फ़रेब, हाँ फ़रेब
दिखाने की बात है
परदा
आ आ आ
परदा तो है फ़रेब दिखाने की बात है
रे बिटुआ
हम जानते हैं जलवा जलवा छुपाने की बात है
आ: रुख़ से परदा हटाया तो ग़श खाओगे
हमने जलवा दिखाया तो जल जाओगे
हमने जलवा

आ: तूर पे मूसा ने इक बार पुकारा हमको
म: हा आ हा अरे हाँ
आ: अर्श से मिन्नतें कर-कर के उतारा ओ उतारा हमको
म: ब रे ब म प
आ: हमने आवाज़ दी, आवाज़ दी
हमने आवाज़ दी

हम बर्क-ए-बला हैं मूसा
चैन से रहने दो
चैन से रहने दो छेड़ो न ख़ुदारा हमको
हमने जलवा दिखाया तो जल जाओगे
हमने जलवा

म: हम कोई मूसा नहीं देख के ग़श खायेंगे
ए हे, हम कोई मूसा नहीं देख के ग़श खायेंगे
हम तो मनसूर हैं सूली पे भी चढ़ जायेंगे
आ: क्‌या
म: देखना लब पे मगर नाम तुम्हारा होगा, हाँ
मरते-मरते भी
आ: वाह रे मुन्ना
म: मरते-मरते भी ये एहसान तो कर जायेंगे
गर हमें आज़माया तो पछताओगे -2

दो: रे हमने जलवा जलवा
हमने जलवा दिखाया तो जल जाओगे
हमने जलवा

ā: are to jal jāoge
hamne jalvā dikhāyā to jal jāoge -3
rukh se pardā hāy
rukh se pardā haṭāyā to ġhaśh khāoge
rukh se pardā
ma: pardā to hai fareb, ajī fareb, hāṇ fareb
dikhāne kī bāt hai
pardā
ā ā ā
pardā to hai fareb dikhāne kī bāt hai
re biṭuā
ham jānte haiṅ jalvā jalvā chhupāne kī bāt hai
ā: rukh se pardā haṭāyā to ġhaśh khāoge
hamne jalvā dikhāyā to jal jāoge
hamne jalvā

ā: tūr pe mūsā ne ik bār pukārā hamko
ma: hā ā hā are hāṇ
ā: arśh se minnteṅ kar-kar ke utārā o utārā hamko
ma: ba re ba ma pa
ā: hamne āvāz dī, āvāz dī
hamne āvāz dī
ā
ham bark-e-balā haiṅ mūsā
chain se rahne do
chain se rahne do chheṛo na khudārā hamko
hamne jalvā dikhāyā to jal jāoge
hamne jalvā

ma: ham koī mūsā nahīṅ dekh ke ġhaśh khāyeṅge
e he, ham koī mūsā nahīṅ dekh ke ġhaśh khāyeṅge
ham to mansūr haiṅ sūlī pe bhī chaṛh jāyeṅge
ā: k‌yā
ma: dekhnā lab pe magar nām tumhārā hogā, hāṇ
marte-marte bhī
ā: vāh re munnā
ma: marte-marte bhī ye ehsān to kar jāyeṅge
gar hameṅ āzmāyā to pachhtāoge -2

do: re hamne jalvā jalvā
hamne jalvā dikhāyā to jal jāoge
hamne jalvā