Hamne dekhaa hai tumhen aisaa ghumaan hotaa hai

हमने देखा है तुम्हें ऐसा ग़ुमाँ होता है
Year
Language

हमने देखा है तुम्हें ऐसा ग़ुमाँ होता है
आँख मिलती है तो क्‌यों दर्द जवाँ होता है
हमने देखा है …

ऐसा लगता है कि हमदम मेरा वापस आया
मेरे जीवन पे मुहब्बत का नशा सा छाया
दिल में चलने लगा फिर हुस्न का रोशन साया
हमने देखा है …

जाने क्‌यों मेरा दिल क़दमों पे झुक जाता है
कोई बिछड़ा हुआ साथी मुझे याद आता है
ये मिलन प्यार भरा किसलिए तड़पाता है
हमने देखा है …

आज सदियों की मुलाकात निकल आई है
जैसे तूफ़ान से बारात निकल आई है
दिल में रहती थी वो ही बात निकल आई है
हमने देखा है …

hamne dekhā hai tumheṅ aisā ġhumāṇ hotā hai
āṇkh miltī hai to k‌yoṅ dard javāṇ hotā hai
hamne dekhā hai …

aisā lagtā hai ki hamdam merā vāpas āyā
mere jīvan pe muhabbat kā naśhā sā chhāyā
dil meṅ chalne lagā phir husn kā rośhan sāyā
hamne dekhā hai …

jāne k‌yoṅ merā dil qadmoṅ pe jhuk jātā hai
koī bichhaṛā huā sāthī mujhe yād ātā hai
ye milan pyār bharā kislie taṛpātā hai
hamne dekhā hai …

āj sadiyoṅ kī mulākāt nikal āī hai
jaise tūfān se bārāt nikal āī hai
dil meṅ rahtī thī vo hī bāt nikal āī hai
hamne dekhā hai …