हमको मोहब्बत ढूंढ रही थी ... तेरी कसम ओ तेरी कसम्
हमको मोहब्बत ढूंढ रही थी
नाम पता सब पूछ रही थी
हमको मोहब्बत …
तेरी कसम ओ तेरी कसम हम पकड़े गए हैं
हथकड़ियों में जकड़े गए हैं
हमको कयामत ढूंढ रही थी
नाम पता सब पूछ रही थी
हमको मोहब्बत …
चोरी से ये चुपके से आई
तेरे मेरे दिल में समाई
मोहब्बत
पहले दिल का चैन चुराया
फिर आँखों की नींद चुराई
मोहब्बत
सात समंदर बुझा सकें ना ऐसी आग लगाई ओ
ऐसा लगा बस जान निकल गई सामने जब तू आई
तेरी कसम ओ तेरी कसम
हमको कयामत …
तेज़ हवा का बनके झोंका
इसने हमको राह में रोका
मोहब्बत
बोली आओ तुमको सिखाऊं
आँख मिचौली खेल दिलों का
मोहब्बत
तेरे मेरे नैन मिले तो इसको मिल गया मौक़ा
क्या करते क्या कर सकते थे दिल भी दे गया धोखा
तेरी कसम ओ तेरी कसम
हमको कयामत …
hamko mohabbat ḍhūṅḍh rahī thī
nām patā sab pūchh rahī thī
hamko mohabbat …
terī kasam o terī kasam ham pakaṛe gae haiṅ
hathkaṛiyoṅ meṅ jakaṛe gae haiṅ
hamko kayāmat ḍhūṅḍh rahī thī
nām patā sab pūchh rahī thī
hamko mohabbat …
chorī se ye chupke se āī
tere mere dil meṅ samāī
mohabbat
pahle dil kā chain churāyā
phir āṇkhoṅ kī nīṅd churāī
mohabbat
sāt samaṅdar bujhā sakeṅ nā aisī āg lagāī o
aisā lagā bas jān nikal gaī sāmne jab tū āī
terī kasam o terī kasam
hamko kayāmat …
tez havā kā banke jhoṅkā
isne hamko rāh meṅ rokā
mohabbat
bolī āo tumko sikhāūṅ
āṇkh michaulī khel diloṅ kā
mohabbat
tere mere nain mile to isko mil gayā mauqā
kyā karte kyā kar sakte the dil bhī de gayā dhokhā
terī kasam o terī kasam
hamko kayāmat …