हमें तुम से मोहब्बत है, बताना भी नहीं आता
छुपाना भी नहीं आता
जताना भी नहीं आता
हमें तुम से मोहब्बत है - 2
बताना भी नहीं आता, छुपाना भी …
हथेली पर तुम्हारा नाम
लिखते हैं मिटाते हैं - 2
तुम्ही से प्यार करते हैं
तुम्हि से ही क्यूँ छुपाते हैं - 2
ज़ुबां पे बात है लेकिन
सुनाना ही नहीं आता
हमें तुम से मोहब्बत है …
मोहब्बत कैसे करते हैं
कोई तो हमको समझाए - 2
कहीं ऐसा न हो कि
प्यार बिन उम्र कट जाए - 2
तुम से मिलने का कोई
बहाना भी नहीं आता
हमें तुम से मोहब्बत है …
चोरी चोरी चुपके चुपके
तुमको देखा करते हैं - 2
हाल-ए-दिल सुनाने से
न जाने क्यूँ डरते हैं - 2
कितना पागल दिल है मेरा
मनाना भी नहीं आता
हमें तुम से मोहब्बत है …
chhupānā bhī nahīṅ ātā
jatānā bhī nahīṅ ātā
hameṅ tum se mohabbat hai - 2
batānā bhī nahīṅ ātā, chhupānā bhī …
hathelī par tumhārā nām
likhte haiṅ miṭāte haiṅ - 2
tumhī se pyār karte haiṅ
tumhi se hī kyūṇ chhupāte haiṅ - 2
zubāṅ pe bāt hai lekin
sunānā hī nahīṅ ātā
hameṅ tum se mohabbat hai …
mohabbat kaise karte haiṅ
koī to hamko samjhāe - 2
kahīṅ aisā na ho ki
pyār bin umr kaṭ jāe - 2
tum se milne kā koī
bahānā bhī nahīṅ ātā
hameṅ tum se mohabbat hai …
chorī chorī chupke chupke
tumko dekhā karte haiṅ - 2
hāl-e-dil sunāne se
na jāne kyūṇ ḍarte haiṅ - 2
kitnā pāgal dil hai merā
manānā bhī nahīṅ ātā
hameṅ tum se mohabbat hai …