Hamdam mere, maan bhee jaao

हमदम मेरे, मान भी जाओ
Work
Year
Language

हो

हमदम मेरे, मान भी जाओ
कहना मेरे प्यार का
अरे हल्का-हल्का, सुर्ख लबों पे
रंग तो है इक़रार का - 2
अरे हमदम मेरे

होय
प्यार मुहोब्बत की हवा, पहले चलती है
फिर इक लट इनकार की, रुख पे ढलती है - 2
ये सच है कम से कम, तू ऐ मेरे सनम
लटें चेहरे से सरकाओ, तमन्ना आँखे मलती है
हाय, हमदम मेरे

हाय
तुमसे मिल-मिल के सबा, दुनिया महकाये
बादल ने चोरी किये, आँचल के संग - 2
ये सच है कम से कम, तू ऐ मेरे सनम
चुरा लूं मैं भी दो जलवे, मेरा अरमान भी रह जाये
हाय, हमदम मेरे

ho

hamdam mere, mān bhī jāo
kahnā mere pyār kā
are halkā-halkā, surkh laboṅ pe
raṅg to hai iqrār kā - 2
are hamdam mere

hoy
pyār muhobbat kī havā, pahle chaltī hai
phir ik laṭ inkār kī, rukh pe ḍhaltī hai - 2
ye sach hai kam se kam, tū ai mere sanam
laṭeṅ chehre se sarkāo, tamannā āṇkhe maltī hai
hāy, hamdam mere

hāy
tumse mil-mil ke sabā, duniyā mahkāye
bādal ne chorī kiye, āṇchal ke saṅg - 2
ye sach hai kam se kam, tū ai mere sanam
churā lūṅ maiṅ bhī do jalve, merā armān bhī rah jāye
hāy, hamdam mere