Hamaaree hee muththee men aakaash saaraa, jab bhee khulegee chamkegaa taaraa

हमारी ही मुठ्ठी में आकाश सारा, जब भी खुलेगी चमकेगा तारा
Year
Language

हमारी ही मुठ्ठी में आकाश सारा
जब भी खुलेगी चमकेगा तारा
कभी ना ढले जो, वो ही सितारा
दिशा जिस से पहचाने संसार सारा

हथेली पे रेखायें हैं सब अधूरी
किसने लिखी हैं नहीं जानना है
सुलझाने उनको न आएगा कोई
समझना हैं उनको ये अपना करम है
अपने करम से दिखाना है सबको
खुद का पनपना, उभरना है खुदको
अँधेरा मिटाए जो नन्हा शरारा, दिशा जिससे ...

हमारे पीछे कोई आए ना आए
हमें ही तो पहले पहुचना वहाँ है
जिन पर हैं चलना नई पीढ़ीयों को
उन ही रास्तों को बनाना हमें हैं
जो भी साथ आये उन्हें साथ ले ले
अगर ना कोई साथ दे तो अकेले
सुलगा के खुद को मिटा ले अँधेरा, दिशा जिससे ...

hamārī hī muṭhṭhī meṅ ākāśh sārā
jab bhī khulegī chamkegā tārā
kabhī nā ḍhale jo, vo hī sitārā
diśhā jis se pahchāne saṅsār sārā

hathelī pe rekhāyeṅ haiṅ sab adhūrī
kisne likhī haiṅ nahīṅ jānnā hai
suljhāne unko na āegā koī
samajhnā haiṅ unko ye apnā karam hai
apne karam se dikhānā hai sabko
khud kā panapnā, ubharnā hai khudko
aṇdherā miṭāe jo nanhā śharārā, diśhā jisse ...

hamāre pīchhe koī āe nā āe
hameṅ hī to pahle pahuchnā vahāṇ hai
jin par haiṅ chalnā naī pīṛhīyoṅ ko
un hī rāstoṅ ko banānā hameṅ haiṅ
jo bhī sāth āye unheṅ sāth le le
agar nā koī sāth de to akele
sulgā ke khud ko miṭā le aṇdherā, diśhā jisse ...