Ham yahaan, tum yahaan, dil javaan

हम यहाँ, तुम यहाँ, दिल जवां
Work
Year
Language

हम यहाँ, तुम यहाँ, दिल जवां
वो समा लेकिन कहाँ, शुरू शुरू के प्यार का
फिर से चलो, चुराये दिल यार का

जब कुछ कहे लब से, पहले कहे सब से
जान-ए-मन, मेरी जां, जान-ए-जां, जान-ए-जहां

चाहा तुम्हे कितना, ढूँढा तुम्हे कितना
मिल गये हम मगर, खो गये फिर हम कहाँ

ham yahāṇ, tum yahāṇ, dil javāṅ
vo samā lekin kahāṇ, śhurū śhurū ke pyār kā
phir se chalo, churāye dil yār kā

jab kuchh kahe lab se, pahle kahe sab se
jān-e-man, merī jāṅ, jān-e-jāṅ, jān-e-jahāṅ

chāhā tumhe kitnā, ḍhūṇḍhā tumhe kitnā
mil gaye ham magar, kho gaye phir ham kahāṇ