Ham tumhen itnaa pyaar karenge ... ki log hamen yaad karenge

हम तुम्हें इतना प्यार करेंगे ... कि लोग हमें याद करेंगे
Year
Language

हम तुम्हें इतना प्यार करेंगे
कि लोग हमें याद करेंगे

हम भूले तो हम हरजाई तुम भूलू तो तुम हरजाई हो
हमने आज किया ये वादा हमने आज कसम उठाई
साथ जियेंगे साथ मरेंगे
कि लोग हमें याद करेंगे …

याद तुम्हें हम कर के सोये नाम तुम्हारा हम लेकर जागे
सारी दुनिया रह गई पीछे और निकल आये हम आगे
अब दुनिया से हम न डरेंगे
कि लोग हमें याद करेंगे …

न कोई डर न कोई ग़म दिल में हमेशा प्यार का मौसम
इस दुनिया में जी नहीं लगता छोड़ के इस दुनिया को अब हम
इक दूजे के दिल में रहेंगे
कि लोग हमें याद करेंगे …

ham tumheṅ itnā pyār kareṅge
ki log hameṅ yād kareṅge

ham bhūle to ham harjāī tum bhūlū to tum harjāī ho
hamne āj kiyā ye vādā hamne āj kasam uṭhāī
sāth jiyeṅge sāth mareṅge
ki log hameṅ yād kareṅge …

yād tumheṅ ham kar ke soye nām tumhārā ham lekar jāge
sārī duniyā rah gaī pīchhe aur nikal āye ham āge
ab duniyā se ham na ḍareṅge
ki log hameṅ yād kareṅge …

na koī ḍar na koī ġham dil meṅ hameśhā pyār kā mausam
is duniyā meṅ jī nahīṅ lagtā chhoṛ ke is duniyā ko ab ham
ik dūje ke dil meṅ raheṅge
ki log hameṅ yād kareṅge …