हम तुम दोनों जवां हैं दिल बेकरार है
हम तुम दोनों जवां हैं दिल बेकरार है
झरनों के झांझरों में मीठी झनकार है
यही तो प्यार है
हम तुम दोनों …
तुझे छू के जलने लगा है साजन क्यूं मेरा ये बदन
ना जानूं मुझे क्या पता है लगी है ये कैसी अगन
तू है सामने फिर भी तेरा इंतज़ार है
यही तो प्यार है यही प्यार है
मेरे दिल पे होने लगा ये कैसा चाहत का असर
मैं तेरे बिना कुछ नहीं हूँ नहीं तुझे क्या खबर
क्या नहीं ये खबर
तू है ज़िंदगी मेरी मुझको एतबार है
कैसी गुमसुम हवा है हल्का हल्का नशा है
रहो पास पास मेरे क्यूं ये कह रहा है
यही तो प्यार है यही प्यार है
ham tum donoṅ javāṅ haiṅ dil bekrār hai
jharnoṅ ke jhāṅjhroṅ meṅ mīṭhī jhankār hai
yahī to pyār hai
ham tum donoṅ …
tujhe chhū ke jalne lagā hai sājan kyūṅ merā ye badan
nā jānūṅ mujhe kyā patā hai lagī hai ye kaisī agan
tū hai sāmne phir bhī terā iṅtazār hai
yahī to pyār hai yahī pyār hai
mere dil pe hone lagā ye kaisā chāhat kā asar
maiṅ tere binā kuchh nahīṅ hūṇ nahīṅ tujhe kyā khabar
kyā nahīṅ ye khabar
tū hai ziṅdgī merī mujhko etbār hai
kaisī gumsum havā hai halkā halkā naśhā hai
raho pās pās mere kyūṅ ye kah rahā hai
yahī to pyār hai yahī pyār hai