हम तेरे बिन कहीं रह नहीं पाते ... हाय प्यार क्या चीज़ है
हम तेरे बिन कहीं रह नहीं पाते तुम नहीं आते तो हम मर जाते
हाय प्यार क्या चीज़ है ये जान नहीं पाते
हम तेरे बिन कहीं …
उड़े खुश्बू कली महके ये रुत बदले बहार आए
मुहब्बत करने की जानम उम्र एक बार आए
तुम्हें प्यार करने को जी करता है इकरार करने को जी करता है
तुम नहीं होते तो दिल न लगाते दिल की तड़प हम किसको बताते
हाय प्यार क्या चीज़ है …
तुम नहीं होते तो हम मर जाते
भुलाये से न भूलें मेरे दिलबर तेरी बातें
तेरी यादों में गुज़रीं कई सुबह कई रातें
तुझसे दूर जो कहीं हम जाएंगे हर घड़ी हम तुझे याद आएंगे
तेरी इन बातों से हम घबराते तौबा तुम हमें कितना तड़पाते
हाय प्यार क्या चीज़ है …
कभी देखूं जो मैं दर्पण चेहरा तेरा नज़र आये
जब जब लेती हूँ मैं साँसें तेरी खुश्बू बिखर जाये
तेरे बिन अब जीना मुश्किल है मैं दिल हूँ तेरा तू मेरा दिल है
सरी उम्र तो हम पछताते राज़ कोई जो तुझसे छुपाते
हाय प्यार क्या चीज़ है …
ham tere bin kahīṅ rah nahīṅ pāte tum nahīṅ āte to ham mar jāte
hāy pyār kyā chīz hai ye jān nahīṅ pāte
ham tere bin kahīṅ …
uṛe khuśhbū kalī mahke ye rut badle bahār āe
muhabbat karne kī jānam umr ek bār āe
tumheṅ pyār karne ko jī kartā hai ikrār karne ko jī kartā hai
tum nahīṅ hote to dil na lagāte dil kī taṛap ham kisko batāte
hāy pyār kyā chīz hai …
tum nahīṅ hote to ham mar jāte
bhulāye se na bhūleṅ mere dilbar terī bāteṅ
terī yādoṅ meṅ guzrīṅ kaī subah kaī rāteṅ
tujhse dūr jo kahīṅ ham jāeṅge har ghaṛī ham tujhe yād āeṅge
terī in bātoṅ se ham ghabrāte taubā tum hameṅ kitnā taṛpāte
hāy pyār kyā chīz hai …
kabhī dekhūṅ jo maiṅ darpaṇ chehrā terā nazar āye
jab jab letī hūṇ maiṅ sāṇseṅ terī khuśhbū bikhar jāye
tere bin ab jīnā muśhkil hai maiṅ dil hūṇ terā tū merā dil hai
sarī umr to ham pachhtāte rāz koī jo tujhse chhupāte
hāy pyār kyā chīz hai …