Ham qash-ma-qash-e-gham se guzar k‌yon naheen jaate

हम क़श-म-क़श-ए-ग़म से गुज़र क्‌यों नहीं जाते
Work
Year
Language

हम क़श-म-क़श-ए-ग़म से गुज़र क्‌यों नहीं जाते
मरना तो ब-हर-हाल है मर क्‌यों नहीं जाते
हम क़श-म-क़श-ए-ग़म …

ये वक़्त के हाथों में चमकते हुए ख़ंज़र
इक साथ कलेजे में उतर क्‌यों नहीं जाते
हम क़श-म-क़श-ए-ग़म …

बहके हुए क़दमों पे ये साँसों के जनाज़े
आख़िर किसी मंज़िल पे ठहर क्‌यों नहीं जाते
हम क़श-म-क़श-ए-ग़म …

सोचा ही नहीं था कभी यह हाल भी होगा
हम अपनी ही तस्वीर से डर क्‌यों नहीं जाते
हम क़श-म-क़श-ए-ग़म …

ham qaśh-ma-qaśh-e-ġham se guzar k‌yoṅ nahīṅ jāte
marnā to ba-har-hāl hai mar k‌yoṅ nahīṅ jāte
ham qaśh-ma-qaśh-e-ġham …

ye vaqt ke hāthoṅ meṅ chamakte hue khaṅzar
ik sāth kaleje meṅ utar k‌yoṅ nahīṅ jāte
ham qaśh-ma-qaśh-e-ġham …

bahke hue qadmoṅ pe ye sāṇsoṅ ke janāze
ākhir kisī maṅzil pe ṭhahar k‌yoṅ nahīṅ jāte
ham qaśh-ma-qaśh-e-ġham …

sochā hī nahīṅ thā kabhī yah hāl bhī hogā
ham apnī hī tasvīr se ḍar k‌yoṅ nahīṅ jāte
ham qaśh-ma-qaśh-e-ġham …