Ham premee prem karnaa jaanen

हम प्रेमी प्रेम करना जानें
Work
Year
Language

हम प्रेमी प्रेम करना जानें
कहें न दिल की बात सदा चुप रहना जानें
हम प्रेमी प्रेम करना जानें
प्यार के दुश्मन को हज़ारों में पहचानें
हम प्रेमी …

अपनों से जब ठेस कोई लग जाती है
हिम्मत अपनी और भी बढ़ जाती है
ये मत भूलो ऐसे ही दीवानों के
पैरों में ज़ंजीर भी पड़ जाती है
दीवाने ज़ंजीर से क्‌या डरना जानें
हम प्रेमी …

मुजरिम को परदा छुपा ना पाएगा
चिंगारी के खेल में जल जाएगा
जलने वाला आग भी लगा सकता है
ये तो उसका वार ही बतलाएगा
हम तो जिसका वार उसी पर धरना जानें
हम प्रेमी …

आपस में टकराना कैसा गाओ मिलकर साथ मेरे
मेरे लिए तो हो तुम दोनों जैसे ये दो हाथ मेरे
आपके क़दमों के जैसा दुनिया में कहाँ आराम कोई
आपकी छाया है हम पे तो कर जाएँगे काम कोई
हम मतवाले प्यार में जीना-मरना जानें
हम प्रेमी …

ham premī prem karnā jāneṅ
kaheṅ na dil kī bāt sadā chup rahnā jāneṅ
ham premī prem karnā jāneṅ
pyār ke duśhman ko hazāroṅ meṅ pahchāneṅ
ham premī …

apnoṅ se jab ṭhes koī lag jātī hai
himmat apnī aur bhī baṛh jātī hai
ye mat bhūlo aise hī dīvānoṅ ke
pairoṅ meṅ zaṅjīr bhī paṛ jātī hai
dīvāne zaṅjīr se k‌yā ḍarnā jāneṅ
ham premī …

mujrim ko pardā chhupā nā pāegā
chiṅgārī ke khel meṅ jal jāegā
jalne vālā āg bhī lagā saktā hai
ye to uskā vār hī batlāegā
ham to jiskā vār usī par dharnā jāneṅ
ham premī …

āpas meṅ ṭakrānā kaisā gāo milkar sāth mere
mere lie to ho tum donoṅ jaise ye do hāth mere
āpke qadmoṅ ke jaisā duniyā meṅ kahāṇ ārām koī
āpkī chhāyā hai ham pe to kar jāeṇge kām koī
ham matvāle pyār meṅ jīnā-marnā jāneṅ
ham premī …