Ham ne tujh ko pyaar kiyaa hai jitnaa, kaun karegaa itnaa

हम ने तुझ को प्यार किया है जितना, कौन करेगा इतना
Year
Language

हम ने तुझ को प्यार किया है जितना, कौन करेगा इतना
कौन करेगा इतना…

आँख चुराई ठेस लगाई दिल भी तूने तोड़ा
लाख छुपाया तूने दामन हम ने साथ न छोड़ा
तेरे करम को तेरे सितम को सहते रहें हम जितना
कौन करेगा इतना…

तू ही तू है इन आँखों में और नहीं कोई दूजा
तुझ को चाहा तुझ को सराहा और तुझे ही पूजा
तेरे दर को मान के मंदिर झुकते हैं हम जितना
कौन करेगा इतना…

तेरे जैसा साथी जिसमें तेरे जैसा दिल है
लाख बुरी हो दुनिया फिर भी जीने के क़ाबिल है
तेरे साथ जीने की खातिर मिटते रहे हम जितना
कौन करेगा इतना…

ham ne tujh ko pyār kiyā hai jitnā, kaun karegā itnā
kaun karegā itnā…

āṇkh churāī ṭhes lagāī dil bhī tūne toṛā
lākh chhupāyā tūne dāman ham ne sāth na chhoṛā
tere karam ko tere sitam ko sahte raheṅ ham jitnā
kaun karegā itnā…

tū hī tū hai in āṇkhoṅ meṅ aur nahīṅ koī dūjā
tujh ko chāhā tujh ko sarāhā aur tujhe hī pūjā
tere dar ko mān ke maṅdir jhukte haiṅ ham jitnā
kaun karegā itnā…

tere jaisā sāthī jismeṅ tere jaisā dil hai
lākh burī ho duniyā phir bhī jīne ke qābil hai
tere sāth jīne kī khātir miṭte rahe ham jitnā
kaun karegā itnā…