Ham ne tujh ko pyaar kiyaa hai jitnaa

हम ने तुझ को प्यार किया है जितना
Year
Language

हमने तुझको प्यार किया है जितना, कौन करेगा इतना ?

तू ही तू है इन आँखों में और नहीं कोई दूजा
तुझ को चाहा, तुझ को सराहा और तुझे ही पूजा
तेरे दर को मान के मंदीर, झुकते रहे हम जितना
कौन झुकेगा इतना ?

तेरे जैसा साथी जिसमें तेरे जैसा दिल है
लाख बुरी हो दुनिया फिर भी जीने के काबिल है
तेरे संग जीने के खातिर मिटते रहे हम जितना
कौन मिटेगा इतना ?

hamne tujhko pyār kiyā hai jitnā, kaun karegā itnā ?

tū hī tū hai in āṇkhoṅ meṅ aur nahīṅ koī dūjā
tujh ko chāhā, tujh ko sarāhā aur tujhe hī pūjā
tere dar ko mān ke maṅdīr, jhukte rahe ham jitnā
kaun jhukegā itnā ?

tere jaisā sāthī jismeṅ tere jaisā dil hai
lākh burī ho duniyā phir bhī jīne ke kābil hai
tere saṅg jīne ke khātir miṭte rahe ham jitnā
kaun miṭegā itnā ?