हम ने तो दिल को आपके कदमों पे रख दिया
र: हम ने तो दिल को आपके कदमों पे रख दिया - 2
इस दिल क्या करेंगे ये अब आप सोचिये
आ: हम आप के वफ़ा की कसम खा रहे हैं आज - 2
अहद-ए-वफ़ा करेंगे ये अब आप सोचिये
र: जब दिल से हम ने जोड़ लिया दिल का सिलसिला - 2
आगे है क्या नसीब में जाने मेरी बला
जोड़ा जब आप ही से मुहोब्बत का फ़ैसला
क्या फ़ैसला करेंगे अब आप सोचिये
हम ने तो दिल को आपके …
आ: चाहत का ऐतबार है, कितना हसीन ख्वाब
ऐसे में कौन माँगे किसी बात का जवाब
जब आप ही के हाथ है तक़दीर की किताब
क्या क्या लिखा करेंगे अब आप सोचिये
र: हम ने तो दिल को आपके …
आ: हम आप की वफ़ा की …
ra: ham ne to dil ko āpke kadmoṅ pe rakh diyā - 2
is dil kyā kareṅge ye ab āp sochiye
ā: ham āp ke vafā kī kasam khā rahe haiṅ āj - 2
ahad-e-vafā kareṅge ye ab āp sochiye
ra: jab dil se ham ne joṛ liyā dil kā silsilā - 2
āge hai kyā nasīb meṅ jāne merī balā
joṛā jab āp hī se muhobbat kā faislā
kyā faislā kareṅge ab āp sochiye
ham ne to dil ko āpke …
ā: chāhat kā aitbār hai, kitnā hasīn khvāb
aise meṅ kaun māṇge kisī bāt kā javāb
jab āp hī ke hāth hai taqdīr kī kitāb
kyā kyā likhā kareṅge ab āp sochiye
ra: ham ne to dil ko āpke …
ā: ham āp kī vafā kī …