Ham naheen jhoomte hain jhoomtaa hai saaraa jahaan

हम नहीं झूमते हैं झूमता है सारा जहां
Work
Year
Language

हम नहीं झूमते हैं झूमता है सारा जहां -2
झूमते झूमते याद आ जाएगा तो हम चले जाएंगे
कैसे जाएंगे
हम नहीं झूमते हैं …

झूम के तुम मुझको अजी देख रहे हो क्‌यों
तू है हसीना कभी तू ज़ीनत कभी तू रेखा
मैने तुझमें क्‌या क्‌या देखा रंग बदला कैसा कैसा
देखे बहुत से जवां तुझसा कोई नहीं हसीं
तू तो है कमल हासन नाचेगा तू show man अमिताभ जैसा
लड़ाई बन्द करो घर चलो
घर किधर है घर
झूमते झूमते याद आ जाएगा …

घर को हम भूले या हमें घर भूला
रात कहां पर हम काटेंगे क्‌या खाएंगे
क्‌या पियेंगे सोयेंगे हम कहां पे जाकर
बाहों का तकिया बना ज़ुल्फ़ों की चादर बिछा
आए हो तुम प्यार निभाने प्यार ही पीने प्यार ही खाने
सपनें देखें मिल कर यहीं इसी सड़क पर
नहीं नहीं नहीं
झूमते झूमते याद आ जाएगा …

ham nahīṅ jhūmte haiṅ jhūmtā hai sārā jahāṅ -2
jhūmte jhūmte yād ā jāegā to ham chale jāeṅge
kaise jāeṅge
ham nahīṅ jhūmte haiṅ …

jhūm ke tum mujhko ajī dekh rahe ho k‌yoṅ
tū hai hasīnā kabhī tū zīnat kabhī tū rekhā
maine tujhmeṅ k‌yā k‌yā dekhā raṅg badlā kaisā kaisā
dekhe bahut se javāṅ tujhsā koī nahīṅ hasīṅ
tū to hai kamal hāsan nāchegā tū show man amitābh jaisā
laṛāī band karo ghar chalo
ghar kidhar hai ghar
jhūmte jhūmte yād ā jāegā …

ghar ko ham bhūle yā hameṅ ghar bhūlā
rāt kahāṅ par ham kāṭeṅge k‌yā khāeṅge
k‌yā piyeṅge soyeṅge ham kahāṅ pe jākar
bāhoṅ kā takiyā banā zulfoṅ kī chādar bichhā
āe ho tum pyār nibhāne pyār hī pīne pyār hī khāne
sapneṅ dekheṅ mil kar yahīṅ isī saṛak par
nahīṅ nahīṅ nahīṅ
jhūmte jhūmte yād ā jāegā …