Ham na bhoolenge tumhen, allaah qasam

हम न भूलेंगे तुम्हें, अल्लाह क़सम्
Year
Language

फिर तुम्हारी याद आई ऐ सनम, ऐ सनम
हम न भूलेंगे तुम्हें, अल्लाह क़सम
अल्लाह क़सम, अल्लाह क़सम, अल्लाह क़सम

मन्ना दे: हाल-ए-दिल यार को लिखूँ कैसे
हाथ दिल से जुदा नहीं होता
किस तरह उनको बताएं अपना ग़म, ऐ सनम
हम न भूलेंगे तुम्हें, अल्लाह क़सम

सादत खान: तुम मेरे दिल में, मेरी आँखों में हो
तुम मेरे ख़्वाबों, मेरी आहों में हो
दूर रहकर भी जुदा होंगे न हम, ऐ सनम
हम न भूलेंगे तुम्हें, अल्लाह क़सम

रफ़ी: जबसे देकी सूरत उनकी, हम शमा जलाना भूल गए
रुख़सार की सुर्खी क्‌या कहिए, फूलों का फ़साना भूल गए
बस इतनी कहानी है अपनी, जब आँख मिली बेहोश हुए
दामन से हवा तुम कर न सके, हम होश में आना भूल गए
कितने प्यारे हैं मोहब्बत के सितम, ऐ सनम

क्‌या लुत्फ़ आ रहा था - 3, दिलबर की दिल्लगी से
नज़रें भी थी मुझी पर, परदा भी था मुझी से
क्‌या हसीं तसवीर थी, अल्लाह क़सम, ऐ सनम
हम न भूलेंगे तुम्हें, अल्लाह क़सम
अल्लाह क़सम, अल्लाह क़सम, अल्लाह क़सम्

phir tumhārī yād āī ai sanam, ai sanam
ham na bhūleṅge tumheṅ, allāh qasam
allāh qasam, allāh qasam, allāh qasam

mannā de: hāl-e-dil yār ko likhūṇ kaise
hāth dil se judā nahīṅ hotā
kis tarah unko batāeṅ apnā ġham, ai sanam
ham na bhūleṅge tumheṅ, allāh qasam

sādat khān: tum mere dil meṅ, merī āṇkhoṅ meṅ ho
tum mere khvāboṅ, merī āhoṅ meṅ ho
dūr rahkar bhī judā hoṅge na ham, ai sanam
ham na bhūleṅge tumheṅ, allāh qasam

rafī: jabse dekī sūrat unkī, ham śhamā jalānā bhūl gae
rukhsār kī surkhī k‌yā kahie, phūloṅ kā fasānā bhūl gae
bas itnī kahānī hai apnī, jab āṇkh milī behośh hue
dāman se havā tum kar na sake, ham hośh meṅ ānā bhūl gae
kitne pyāre haiṅ mohabbat ke sitam, ai sanam

k‌yā lutf ā rahā thā - 3, dilbar kī dillgī se
nazreṅ bhī thī mujhī par, pardā bhī thā mujhī se
k‌yā hasīṅ tasvīr thī, allāh qasam, ai sanam
ham na bhūleṅge tumheṅ, allāh qasam
allāh qasam, allāh qasam, allāh qasam