Ham logon ko ... phir bhee dil hai hindustaanee

हम लोगों को ... फिर भी दिल है हिन्दुस्तानी
Year
Language

हम लोगों को समझ सको तो समझो दिलबर जानी
जितना भी तुम समझोगे उतनी होगी हैरानी
अपनी छतरी तुमको दे दें कभी जो बरसे पानी
कभी नए packet में बेचें तुमको चीज़ पुरानी
फिर भी दिल है हिन्दुस्तानी
नींद उड़ रही है …

थोड़े अनाड़ी हैं थोड़े खिलाड़ी
रुक रुक के चलती है अपनी गाड़ी
हमें प्यार चाहिए और कुछ पैसे भी
हम ऐसे भी हैं हम हैं वैसे भी
हम लोगों को समझ सको तो समझो दिलबर जानी
उल्टी सीधी जैसी भी है अपनी यही कहानी
थोड़ी हममें होशियारी है थोड़ी है नादानी
थोड़ी हममें सच्चाई है थोड़ी बेईमानी
फिर भी दिल है …

आँखों में कुछ आँसू हैं कुछ सपने हैं
आँसू और सपने दोनों ही अपने हैं
दिल दुखा है लेकिन टूटा तो नहीं है
उम्मीद का दामन छूटा तो नहीं है
हम लोगों को समझ सको तो समझो दिलबर जानी
थोड़ी मजबूरी है लेकिन थोड़ी है मनमानी
थोड़ी तू तू मैं मैं है और थोड़ी खींचातानी
हममें काफ़ी बातें हैं जो लगती हैं दीवानी
फिर भी दिल है …

ham logoṅ ko samajh sako to samjho dilbar jānī
jitnā bhī tum samjhoge utnī hogī hairānī
apnī chhatrī tumko de deṅ kabhī jo barse pānī
kabhī nae packet meṅ becheṅ tumko chīz purānī
phir bhī dil hai hindustānī
nīṅd uṛ rahī hai …

thoṛe anāṛī haiṅ thoṛe khilāṛī
ruk ruk ke chaltī hai apnī gāṛī
hameṅ pyār chāhie aur kuchh paise bhī
ham aise bhī haiṅ ham haiṅ vaise bhī
ham logoṅ ko samajh sako to samjho dilbar jānī
ulṭī sīdhī jaisī bhī hai apnī yahī kahānī
thoṛī hammeṅ hośhiyārī hai thoṛī hai nādānī
thoṛī hammeṅ sachchāī hai thoṛī beīmānī
phir bhī dil hai …

āṇkhoṅ meṅ kuchh āṇsū haiṅ kuchh sapne haiṅ
āṇsū aur sapne donoṅ hī apne haiṅ
dil dukhā hai lekin ṭūṭā to nahīṅ hai
ummīd kā dāman chhūṭā to nahīṅ hai
ham logoṅ ko samajh sako to samjho dilbar jānī
thoṛī majbūrī hai lekin thoṛī hai manmānī
thoṛī tū tū maiṅ maiṅ hai aur thoṛī khīṅchātānī
hammeṅ kāfī bāteṅ haiṅ jo lagtī haiṅ dīvānī
phir bhī dil hai …