हम जी लेंगे बिन तुम्हारे ... क्यूँकि तुम मेरी ज़िन्दगी हो
मु: हम जी लेंगे बिन तुम्हारे तुम फिर ये कभी न कहना
मेरी जाँ क्यूँकि तुम मेरी ज़िन्दगी हो
तुम मेरी मेरी ज़िन्दगी हो
ल: तुम जाओ कहीं भी प्यारे मेरे दिल के क़रीब रहना
सजना क्यूँकि तुम मेरी ज़िन्दगी हो
तुम मेरी मेरी ज़िन्दगी हो
मु: आती बहारें न गुल कभी खिलते
तुम ज़िन्दगी में जो हमसे न मिलते
ल: यूँ मेरे दिल में तुम आए हो मचल के
उलझा दे आँचल हवा जैसे चल के
मु: लटें हिल रही हैं कुछ ऐसे तुम्हारी
अभी है तसल्ली अभी बेक़रारी
ल: मेरे पास आओ ये नाज़ुक घड़ी है
कोई शै मेरे दिल के पीछे पड़ी है
मेरे अरमाँ मेरे सहारे मेरे दिल के क़रीब रहना
सजना क्यूँकि तुम मेरी …
मु: तुम मेरी मेरी ज़िन्दगी हो
ल: दुनिया है क़ातिल पकड़ लो ये बाँहें
रोके खड़ी हैं मुहब्बत की राहें
मु: जो तेरी धुन में निकल पड़े घर से
वो क्या रुकेंगे ज़माने के डर से
ल: यहाँ इश्क़ को क़त्ल होते ही देखा
सदा हुस्न को छुपकर रोते ही देखा
मु: हमें तुमने चाहा तो कैसे मिटेंगे
नज़र डाल दोगी तो हम जी उठेंगे
मर जाएंगे ग़म के मारे तुम फिर ये कभी न कहना
मेरी जाँ क्यूँकि तुम मेरी ज़िन्दगी हो …
ल: तुम मेरी मेरी ज़िन्दगी हो
दो: तुम मेरी मेरी ज़िन्दगी हो -2
mu: ham jī leṅge bin tumhāre tum phir ye kabhī na kahnā
merī jāṇ kyūṇki tum merī zindgī ho
tum merī merī zindgī ho
la: tum jāo kahīṅ bhī pyāre mere dil ke qarīb rahnā
sajnā kyūṇki tum merī zindgī ho
tum merī merī zindgī ho
mu: ātī bahāreṅ na gul kabhī khilte
tum zindgī meṅ jo hamse na milte
la: yūṇ mere dil meṅ tum āe ho machal ke
uljhā de āṇchal havā jaise chal ke
mu: laṭeṅ hil rahī haiṅ kuchh aise tumhārī
abhī hai tasallī abhī beqrārī
la: mere pās āo ye nāzuk ghaṛī hai
koī śhai mere dil ke pīchhe paṛī hai
mere armāṇ mere sahāre mere dil ke qarīb rahnā
sajnā kyūṇki tum merī …
mu: tum merī merī zindgī ho
la: duniyā hai qātil pakaṛ lo ye bāṇheṅ
roke khaṛī haiṅ muhabbat kī rāheṅ
mu: jo terī dhun meṅ nikal paṛe ghar se
vo kyā rukeṅge zamāne ke ḍar se
la: yahāṇ iśhq ko qatl hote hī dekhā
sadā husn ko chhupkar rote hī dekhā
mu: hameṅ tumne chāhā to kaise miṭeṅge
nazar ḍāl dogī to ham jī uṭheṅge
mar jāeṅge ġham ke māre tum phir ye kabhī na kahnā
merī jāṇ kyūṇki tum merī zindgī ho …
la: tum merī merī zindgī ho
do: tum merī merī zindgī ho -2