Ham jab simat ke aapkee baanhon men aa gaye

हम जब सिमट के आपकी बाँहों में आ गये
Work
Year
Language

म: ओ
आ: हम जब सिमट के आपकी बाँहों में आ गये -2
लाखों हसीन ख़ाब निगाहों में आ गये
हम जब सिमट के आपकी बाँहों में आ गये -2

म: आ
आ: ख़ुश्बू चमन को छोड़ के साँसों में घुल गई -2
लहरा के अपने आप जवाँ ज़ुल्फ़ खुल गई
हम अपनी दिल पसंद पनाहों में आ गये
हम जब सिमट के आपकी बाँहों में आ गये

म: लाखों हसीन ख़ाब निगाहों में आ गये
आ: हम जब सिमट के आपकी बाँहों में आ गये

म: कह दी है दिल की बात नज़ारों के सामने -2
इक़रार कर लिया है बहारों के सामने
दोनों ज़हान आज गवाहों में आ गये
आ: हम जब सिमट के आपकी बाँहों में आ गये
म: लाखों हसीन ख़ाब निगाहों में आ गये
आ: हम जब सिमट के आपकी बाँहों में आ गये

आ: मस्ती भरी घटाओं की परछाइयों तले
दो: मस्ती भरी घटाओं की परछाइयों तले
हाथों में हाथ थाम के जब साथ हम चले
शाख़ों से फूल टूट के राहों में आ गये
आ: हम जब सिमट के आपकी बाँहों में आ गये
म: लाखों हसीन ख़ाब निगाहों में आ गये
आ: हम जब सिमट के आपकी बाँहों में आ गये

ma: o
ā: ham jab simaṭ ke āpkī bāṇhoṅ meṅ ā gaye -2
lākhoṅ hasīn khāb nigāhoṅ meṅ ā gaye
ham jab simaṭ ke āpkī bāṇhoṅ meṅ ā gaye -2

ma: ā
ā: khuśhbū chaman ko chhoṛ ke sāṇsoṅ meṅ ghul gaī -2
lahrā ke apne āp javāṇ zulf khul gaī
ham apnī dil pasaṅd panāhoṅ meṅ ā gaye
ham jab simaṭ ke āpkī bāṇhoṅ meṅ ā gaye

ma: lākhoṅ hasīn khāb nigāhoṅ meṅ ā gaye
ā: ham jab simaṭ ke āpkī bāṇhoṅ meṅ ā gaye

ma: kah dī hai dil kī bāt nazāroṅ ke sāmne -2
iqrār kar liyā hai bahāroṅ ke sāmne
donoṅ zahān āj gavāhoṅ meṅ ā gaye
ā: ham jab simaṭ ke āpkī bāṇhoṅ meṅ ā gaye
ma: lākhoṅ hasīn khāb nigāhoṅ meṅ ā gaye
ā: ham jab simaṭ ke āpkī bāṇhoṅ meṅ ā gaye

ā: mastī bharī ghaṭāoṅ kī parchhāiyoṅ tale
do: mastī bharī ghaṭāoṅ kī parchhāiyoṅ tale
hāthoṅ meṅ hāth thām ke jab sāth ham chale
śhākhoṅ se phūl ṭūṭ ke rāhoṅ meṅ ā gaye
ā: ham jab simaṭ ke āpkī bāṇhoṅ meṅ ā gaye
ma: lākhoṅ hasīn khāb nigāhoṅ meṅ ā gaye
ā: ham jab simaṭ ke āpkī bāṇhoṅ meṅ ā gaye