Ham to hain chhuee-muee, ib k‌yaa karen

हम तो हैं छुई-मुई, इब क्‌या करें
Year
Language

हम तो हैं छुई-मुई, इब क्‌या करें -2
ओ भंवरा बनके आए-गए हो

हमका वो देखें ऐसी नज़र से -2
मुझको पता नाज़ुक सा जियारा
छलिया बनके आए-गए हो

इब तो सजाइले जुलफूल में अपनी -2
मुश्क़िल में पड़ गई हाय रामा मैं
फूलवा बनके आए-गए हो

मारा है बैरी ने डंक ऐसा -2
नस-नस में भर डला है ज़हर
बिच्छुआ बनके आए-गए हो

हमका वो बोले रस की भरी हो -2
बेशरम ऐसी बतिया करे हैं
रसिया बनके आए-गए हो

हमका बनाय लिए अपनी दुल्हनिया -2
बाबुल से हमरे पूछे बिना
ओ दुल्हा बनके आए-गए हो

ham to haiṅ chhuī-muī, ib k‌yā kareṅ -2
o bhaṅvrā banke āe-gae ho

hamkā vo dekheṅ aisī nazar se -2
mujhko patā nāzuk sā jiyārā
chhaliyā banke āe-gae ho

ib to sajāile julphūl meṅ apnī -2
muśhqil meṅ paṛ gaī hāy rāmā maiṅ
phūlvā banke āe-gae ho

mārā hai bairī ne ḍaṅk aisā -2
nas-nas meṅ bhar ḍalā hai zahar
bichchhuā banke āe-gae ho

hamkā vo bole ras kī bharī ho -2
beśhram aisī batiyā kare haiṅ
rasiyā banke āe-gae ho

hamkā banāy lie apnī dulhniyā -2
bābul se hamre pūchhe binā
o dulhā banke āe-gae ho