Ham dono do premee duniyaa chhod chale

हम दोनो दो प्रेमी दुनिया छोड चले
Work
Year
Language

हम दोनो दो प्रेमी दुनिया छोड़ चले
जीवन की हम सारी रस्मे तोड़ चले
बाबूल की आए मोहे याद
जाने क्या हो अब इस के बाद

गाड़ी से कह दो चले तेज मंज़िल है दूर
थोड़ा सफ़र का मज़ा लिजिए, ऐ हुजूर
देखो ना छेड़ो इस तरह, रस्ता कटे फिर किस तरह

जाना कहाँ है बता उस शहर का नाम
ले चल जहाँ तेरी मर्ज़ी, ये तेरा है काम
मुझ पे है इतना ऐतबार, मैने किया है तुम से प्यार

ऐसा न हो तू कभी छोड़ दे मेरा साथ
फिर न कभी कहना दिल तोड़नेवाली बात
मैने तो की थी दिल्लगी, मैने भी की थी दिल्लगी

ham dono do premī duniyā chhoṛ chale
jīvan kī ham sārī rasme toṛ chale
bābūl kī āe mohe yād
jāne kyā ho ab is ke bād

gāṛī se kah do chale tej maṅzil hai dūr
thoṛā safar kā mazā lijie, ai hujūr
dekho nā chheṛo is tarah, rastā kaṭe phir kis tarah

jānā kahāṇ hai batā us śhahar kā nām
le chal jahāṇ terī marzī, ye terā hai kām
mujh pe hai itnā aitbār, maine kiyā hai tum se pyār

aisā na ho tū kabhī chhoṛ de merā sāth
phir na kabhī kahnā dil toṛnevālī bāt
maine to kī thī dillgī, maine bhī kī thī dillgī