Ham chhor chale hain mahafil ko yaad aaye kabhee to mat ronaa

हम छोड़ चले हैं महफ़िल को याद आये कभी तो मत रोना
Year
Language

हम छोड़ चले हैं महफ़िल को याद आये कभी तो मत रोना
इस दिल को तसल्ली दे देना, घबराये कभी तो मत रोना
हम छोड़ चले हैं महफ़िल को …

एक ख़्वाब सा देखा था हमने
जब आँख खुली वो टूट गया
ये प्यार अगर सपना बनकर
तड़पाये कभी तो मत रोना
हम छोड़ चले हैं महफ़िल को

तुम मेरे ख़यालों में खोकर
बरबाद न करना जीवन को
जब कोई सहेली बात तुम्हें
समझाये कभी तो मत रोना
हम छोड़ चले हैं महफ़िल को …

जीवन के सफ़र में तनहाई
मुझको तो न ज़िन्दा छोड़ेगी
मरने की खबर ऐ, जान-ए-जिगर
मिल जाये कभी तो मत रोना
हम छोड़ चले हैं महफ़िल को …

ham chhoṛ chale haiṅ mahafil ko yād āye kabhī to mat ronā
is dil ko tasallī de denā, ghabrāye kabhī to mat ronā
ham chhoṛ chale haiṅ mahafil ko …

ek khvāb sā dekhā thā hamne
jab āṇkh khulī vo ṭūṭ gayā
ye pyār agar sapnā bankar
taṛpāye kabhī to mat ronā
ham chhoṛ chale haiṅ mahafil ko

tum mere khayāloṅ meṅ khokar
barbād na karnā jīvan ko
jab koī sahelī bāt tumheṅ
samjhāye kabhī to mat ronā
ham chhoṛ chale haiṅ mahafil ko …

jīvan ke safar meṅ tanhāī
mujhko to na zindā chhoṛegī
marne kī khabar ai, jān-e-jigar
mil jāye kabhī to mat ronā
ham chhoṛ chale haiṅ mahafil ko …