हम भी अगर बच्चे होते ... हप्प्य बिर्थ्दय तो योउ
हम भी अगर बच्चे होते -2
नाम हमारा होता गबलू बबलू
खाने को मिलते लड्डू
और दुनिया कहती happy birthday to you
happy birthday to you
कोई लाता गुड़िया, मोटर, रेल
तो कोई लाता फिरकी, लट्टू
कोई चाबी का टट्टू
और दुनिया कहती happy birthday to you
happy birthday to you
( कितनी प्यारी होती है ये भोली सी उमर
न नौकरी की चिन्ता न रोटी की फिकर ) -2
नन्हे-मुन्ने होते हम तो देते सौ हुकुम
पीछे-पीछे papa-mummy बनके नौकर
chocolate, biscuit, toffee खाते और पीते दुद्दू
और दुनिया कहती happy birthday to you
happy birthday to you
( कैसे-कैसे नख़रे करते घरवालों से हम
पल में हँसते पल में रोते करते नाक में दम ) -2
अक्कड़-बक्कड़ लुक्क-छुपी कभी छुआ-छू
करते दिन भर हल्ला-गुल्ला दंगा और उधम
और कभी ज़िद पर अड़ जाते जैसे अड़ियल टट्टू
और दुनिया कहती happy birthday to you
happy birthday to you
( अब तो ये है हाल के जब से बीता बचपन
माँ से झगड़ा बाप से टक्कर बीवी से अनबन ) -2
कोल्हू के हम बैल बने हैं धोबी के गधे
दुनिया भर के डण्डे सर पे खायें दनादन
बचपन अपना होता तो न करते ढेँचू-ढेँचू
और दुनिया कहती happy birthday to you
happy birthday to you
ham bhī agar bachche hote -2
nām hamārā hotā gablū bablū
khāne ko milte laḍḍū
aur duniyā kahtī happy birthday to you
happy birthday to you
koī lātā guṛiyā, moṭar, rel
to koī lātā phirkī, laṭṭū
koī chābī kā ṭaṭṭū
aur duniyā kahtī happy birthday to you
happy birthday to you
( kitnī pyārī hotī hai ye bholī sī umar
na naukrī kī chintā na roṭī kī phikar ) -2
nanhe-munne hote ham to dete sau hukum
pīchhe-pīchhe papa-mummy banke naukar
chocolate, biscuit, toffee khāte aur pīte duddū
aur duniyā kahtī happy birthday to you
happy birthday to you
( kaise-kaise nakhre karte gharvāloṅ se ham
pal meṅ hṇste pal meṅ rote karte nāk meṅ dam ) -2
akkaṛ-bakkaṛ lukka-chhupī kabhī chhuā-chhū
karte din bhar hallā-gullā daṅgā aur udham
aur kabhī zid par aṛ jāte jaise aṛiyal ṭaṭṭū
aur duniyā kahtī happy birthday to you
happy birthday to you
( ab to ye hai hāl ke jab se bītā bachapan
māṇ se jhagaṛā bāp se ṭakkar bīvī se anaban ) -2
kolhū ke ham bail bane haiṅ dhobī ke gadhe
duniyā bhar ke ḍaṇḍe sar pe khāyeṅ danādan
bachapan apnā hotā to na karte ḍheṇchū-ḍheṇchū
aur duniyā kahtī happy birthday to you
happy birthday to you