Ham aapkee mahafil men bhoole se chale aae

हम आपकी महफ़िल में भूले से चले आए
Year
Language

हम आपकी महफ़िल में भूले से चले आए -2
हो माफ़ ख़ता अपनी गर्दिश के हैं बहकाए
हम आपकी महफ़िल में …

कभी देखा था इक सपना उन्हें समझे थे हम अपना
पराए हो गए हैं वो बिछड़ कर खो गए हैं वो
हम आपकी महफ़िल में …

अजब सा वो ज़माना था वो धोखा भी सुहाना था
मगर अब याद क्‌या कीजे भला फ़रियाद क्‌या कीजे
हम आपकी महफ़िल में …

गिला करने से क्‌या हासिल नहीं चाहत के मैं क़ाबिल
समझना मैं था दीवाना भुला देना ये अफ़साना
हम आपकी महफ़िल में …

न अब तुझको सताऊँगा इधर मुड़कर न आऊँगा
मैं कर के दिल के सौ टुकड़े बिछा जाता हूँ इस दर पे
हम आपकी महफ़िल में …

ham āpkī mahafil meṅ bhūle se chale āe -2
ho māf khatā apnī gardiśh ke haiṅ bahkāe
ham āpkī mahafil meṅ …

kabhī dekhā thā ik sapnā unheṅ samjhe the ham apnā
parāe ho gae haiṅ vo bichhaṛ kar kho gae haiṅ vo
ham āpkī mahafil meṅ …

ajab sā vo zamānā thā vo dhokhā bhī suhānā thā
magar ab yād k‌yā kīje bhalā fariyād k‌yā kīje
ham āpkī mahafil meṅ …

gilā karne se k‌yā hāsil nahīṅ chāhat ke maiṅ qābil
samajhnā maiṅ thā dīvānā bhulā denā ye afsānā
ham āpkī mahafil meṅ …

na ab tujhko satāūṇgā idhar muṛkar na āūṇgā
maiṅ kar ke dil ke sau ṭukaṛe bichhā jātā hūṇ is dar pe
ham āpkī mahafil meṅ …