Ham aap men kuchh ho gayaa ... ham tumpe marte hain

हम आप में कुछ हो गया ... हम तुमपे मरते हैं
Year
Language

हम आप में कुछ हो गया कुछ मिल गया कुछ खो गया
जो चाहे तुम इसे मान लो लेकिन सुनो ये जान लो
हम तुमपे मरते हैं
हम आप में …

नींद भी लूट ली चैन भी ले लिया
आपका आपके प्यार का शुक्‌रिया
आपसे है हमें ये गिला ओ पिया
जान क्‌यूं छोड़ ले लिया जब जिया
हम आप में …

ओ आपके नाम से नाम हम जोड़ दें
ये कसम खाएं हम हर कसम तोड़ दें
तुम कहो ये गली ये शहर छोड़ दें
क्‌या गली क्‌या शहर हम जहां छोड़ दें
हम आप में …

बस आपके हम हो गए

ham āp meṅ kuchh ho gayā kuchh mil gayā kuchh kho gayā
jo chāhe tum ise mān lo lekin suno ye jān lo
ham tumpe marte haiṅ
ham āp meṅ …

nīṅd bhī lūṭ lī chain bhī le liyā
āpkā āpke pyār kā śhuk‌riyā
āpse hai hameṅ ye gilā o piyā
jān k‌yūṅ chhoṛ le liyā jab jiyā
ham āp meṅ …

o āpke nām se nām ham joṛ deṅ
ye kasam khāeṅ ham har kasam toṛ deṅ
tum kaho ye galī ye śhahar chhoṛ deṅ
k‌yā galī k‌yā śhahar ham jahāṅ chhoṛ deṅ
ham āp meṅ …

bas āpke ham ho gae