ajī chale āo, ajī chale āo
tumheṅ āṇkhoṅ ne dil meṅ bulāyā
ab to samajh jāo, ab to samajh jāo
kyoṅ nigāhoṅ ne pardā girāyā
dil meṅ uṭhtī haiṅ kaisī umaṅgeṅ
tum se kānoṅ meṅ kahnā paṛegā
śhart sun lo magar mere dilbar
ā ke dil meṅ hī rahnā paṛegā
zarā muskārāo, zarā muskārāo
merī nazroṅ ne dāman bichhāyā
raṅg mausam ke ham bhī to dekheṅ
ye lagī kyā hai ham bhī to jāneṅ
dil to yūṇ bhī dhaṛaktā hai lekin
ziṅdgī kyā hai ham bhī to jāneṅ
hame bhī batāo, hame bhī batāo
chāṇd kis ke lie muskrāyā
rāt ko ham se tāroṅ ne pūchhā
pās rah ke bhī kyoṅ dūr haiṅ vo
āg unkī lagāī huī hai
ban rahe haiṅ kī majbūr haiṅ vo
hame nā banāo, hame nā banāo
hamne tumko to apnā banāyā